SEARCH RESULTS
Showing search results for "undah-e-hijraa.n"
Sher MATCHES FOR "undah-e-hijraa.n"
Sher
aa.nkho.n me.n jal rahe the diye e'tibaar ke
ehsaas-e-zulmat-e-shab-e-hijraa.n nahii.n rahaa
Haneef Akhgar
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
honaa hai dard-e-ishq se gar lazzat-aashnaa
dil ko KHaraab-e-talKHii-e-hijraa.n to kiijiye
Safiya Shamim
Sher
nahii.n shikaayat-e-hijraa.n ki is vasiile se
ham un se rishta-e-dil ustuvaar karte rahe
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Natiq Gulavthi
Sher
zindagii phailii hu.ii thii shaam-e-hijraa.n kii tarah
kis ko itnaa hausla thaa kaun jii kar dekhtaa
Ahmad Faraz
Sher
Afroz Alam
Sher
is balaa ko to KHudaa jald kare shahr-badar
kaale paanii ko ravaana shab-e-hijraa.n ho jaa.e
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
tuu kahaa.n jaa.egii kuchh apnaa Thikaana kar le
ham to kal KHvaab-e-adam me.n shab-e-hijraa.n ho.nge
Momin Khan Momin
Sher
Altaf Hussain Hali
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
shab-e-hijraa.n kii daraazii se pareshaan na thaa
ye terii zulf-e-rasaa hai mujhe ma.aluum na thaa
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
mar jaa.e.nge jab ham to bahut yaad karegii
jii bhar ke sataa le shab-e-hijraa.n ko.ii din aur
Akhtar Shirani
Sher
tuu bataa kaise guzaarii shab-e-hijraa.n tuu ne
mai.n to jab ro na sakaa mai.n ne Gazal-KHvaanii kii
Anjum Farooq
Sher
shab-e-hijraa.n jo mire ret pe aa.nsuu Tapke
huu-ba-huu yaar kii tasviir banii paa.ii ga.ii
Faisal Qadri Gunnauri
Sher
ishq phir ishq hai jis ruup me.n jis bhes me.n ho
ishrat-e-vasl bane yaa Gam-e-hijraa.n ho jaa.e
Firaq Gorakhpuri
Sher
yaa-rab Gam-e-hijraa.n me.n itnaa to kiyaa hotaa
jo haath jigar par hai vo dast-e-du.aa hotaa