SEARCH RESULTS
Showing search results for "urdo"
Sher MATCHES FOR "urdo"
Sher
puuchhaa jo un se chaa.nd nikaltaa hai kis tarah
zulfo.n ko ruKH pe Daal ke jhaTkaa diyaa ki yuu.n
Arzoo Lakhnavi
Sher
kis ne bhiige hu.e baalo.n se ye jhaTkaa paanii
jhuum ke aa.ii ghaTaa TuuT ke barsaa paanii
Arzoo Lakhnavi
Sher
urdu hai jis kaa naam hamii.n jaante hai.n 'daaG'
hindostaa.n me.n dhuum hamaarii zabaa.n kii hai
Dagh Dehlvi
Sher
vafaa tum se kare.nge dukh sahe.nge naaz uThaa.e.nge
jise aataa hai dil denaa use har kaam aataa hai
Arzoo Lakhnavi
Sher
burii sarisht na badlii jagah badalne se
chaman me.n aa ke bhii kaa.nTaa gulaab ho na sakaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
Unknown
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
chaa.nd-chehre mujhe achchhe to bahut lagte hai.n
ishq mai.n us se karuu.ngaa jise urdu aa.e
Abbas Tabish
Sher
Munawwar Rana
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
baat karne kaa hasii.n taur-tariiqa siikhaa
ham ne urdu ke bahaane se saliiqa siikhaa
Manish Shukla
Sher
Munawwar Rana
Sher
arz-o-samaa kahaa.n tirii vus.at ko paa sake
meraa hii dil hai vo ki jahaa.n tuu samaa sake
Khwaja Meer Dard
Sher
had se Takraatii hai jo shai vo palaTtii hai zaruur
KHud bhii ro.e.nge Gariibo.n ko rulaane vaale