SEARCH RESULTS
Showing search results for "uzr"
Sher MATCHES FOR "uzr"
Sher
aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Mirza Ghalib
Sher
uzr aane me.n bhii hai aur bulaate bhii nahii.n
baa.is-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhii nahii.n
Dagh Dehlvi
Sher
be-uzr vo kar lete hai.n va.ada ye samajh kar
ye ahl-e-muravvat hai.n taqaazaa na kare.nge
Shefta Mustafa Khan
Sher
Ezaz Ahmad Azar
Sher
aaj vaa.n teG o kafan baa.ndhe hu.e jaataa huu.n mai.n
uzr mere qatl karne me.n vo ab laave.nge kyaa
Mirza Ghalib
Sher
is saadgii pe kaun na mar jaa.e ai KHudaa
la.Dte hai.n aur haath me.n talvaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
saaf kah diijiye va.ada hii kiyaa thaa kis ne
uzr kyaa chaahiye jhuuTo.n ke mukarne ke liye
Dagh Dehlvi
Sher
tanhaa rahne me.n bhii ko.ii uzr nahii.n hai
lekin us ke saath hii tanhaa rah saktaa huu.n
Zafar Iqbal
Sher
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
ham se khul jaa.o ba-vaqt-e-mai-parastii ek din
varna ham chhe.De.nge rakh kar uzr-e-mastii ek din
Mirza Ghalib
Sher
apnaa lahuu yatiim thaa ko.ii na rang laa sakaa
munsif sabhii KHamosh the uzr-e-jafaa ke saamne
Khaleel Tanveer
Sher
tum chaaho to do lafzo.n me.n tai hote hai.n jhag.De
kuchh shikve hai.n bejaa mire kuchh uzr tumhaare