SEARCH RESULTS
Showing search results for "vaaqi.aat-e-silsila-e-tagayyuraat"
Sher MATCHES FOR "vaaqi.aat-e-silsila-e-tagayyuraat"
Sher
mar ke TuuTaa hai kahii.n silsila-e-qaid-e-hayaat
magar itnaa hai ki zanjiir badal jaatii hai
Fani Badayuni
Sher
teraa hii raqs silsila-e-aks-e-KHvaab hai
is ashk-e-niim-shab se shab-e-maahtaab tak
Azhar Naqvi
Sher
vo mel-jol husn o basiirat me.n ab kahaa.n
jo silsila thaa phuul kaa patthar se kaT gayaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
ye roz-marra ke kuchh vaaqi.aat-e-shaadii-o-Gam
mire KHudaa yahii insaa.n kii zindagaanii hai
Abdul Hamid Adam
Sher
allaah-re tere silsila-e-zulf kii kashish
jaataa hai jii udhar hii khi.nchaa kaa.enaat kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
zahr pii kar bhii yahaa.n kis ko milii Gam se najaat
KHatm hotaa hai kahii.n silsila-e-raqs-e-hayaat
Khalilur Rahman Azmi
Sher
aa.nkho.n me.n nahii.n silsila-e-ashk shab-o-roz
tasbiih pa.Dhaa karte hai.n din raat tumhaarii
Muneer Shikohabadi
Sher
taariiKH-e-junuu.n ye hai ki har daur-e-KHirad me.n
ik silsila-e-daar-o-rasan ham ne banaayaa
Nushur Wahidi
Sher
suntii hai roz naGma-e-zanjiir-e-aashiqaa.n
vo zulf bhii hai silsila-e-ahl-e-chisht me.n
Muneer Shikohabadi
Sher
shaa.irii taaza zamaano.n kii hai me.amaar 'faraaz'
ye bhii ik silsila-e-kun-fayakuu.n hai yuu.n hai
Ahmad Faraz
Sher
ai dil tujhe karnii hai agar ishq se bai.at
zinhaar kabhuu chho.Diyo mat silsila-e-dard
Waliullah Muhib
Sher
hazaar ra.ng-ba-daamaa.n sahii magar duniyaa
bas ek silsila-e-etibaar hai, kyaa hai
Nikhat Barelvi
Sher
qadam qadam ko.ii saaya saa muttasil to rahe
saraab kaa ye sar-e-silsila daraaz to ho
Gauhar Hoshiyarpuri
Sher
mat puuchh vaardaat-e-shab-e-hijr ai 'nasiir'
mai.n kyaa kahuu.n jo kaar-e-numaayaan-e-naala thaa
Shah Naseer
Sher
shaa.erii to vaardaat-e-qalb kii ruudaad hai
qaafiya-paimaa.ii ko mai.n shaa.erii kaise kahuu.n
Nazim Barelvi
Sher
vaqaar-e-shauq se gir kar bhii vaar mat karnaa
mile jo zaKHmii parinda shikaar mat karnaa
Ameer Nehtauri
Sher
mai.n ne hijrat ko likhaa vaaqi’a-e-gumshudagii
aur pa.Daa.o me.n hu.ii maut ko manzil likkhaa