SEARCH RESULTS
Showing search results for "vaasil"
Sher MATCHES FOR "vaasil"
Sher
aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
rah-e-vafaa me.n unhii.n kii KHushii kii baat karo
vo zindagii hai.n to phir zindagii kii baat karo
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
tire KHayaal me.n mai.n huu.n mire KHayaal me.n tuu
mire baGair tirii daastaa.n rahe na rahe
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
mizaaj-e-husn to ik haal par rahaa qaa.em
luTaane vaalo.n ne sab kuchh luTaa ke dekh liyaa
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
masruur ho rahe hai.n Gam-e-aashiqii se ham
kyuu.n ta.ng ho.nge kashmakash-e-zindagii se ham
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
hosh me.n laane kii tadbiir na kar ai naaseh
mai.n ne paayaa hai unhe.n chaak-e-garebaa.n ho kar
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
thii vasl me.n bhii fikr-e-judaa.ii tamaam shab
vo aa.e to bhii nii.nd na aa.ii tamaam shab
Momin Khan Momin
Sher
raah-e-vafaa me.n jii ke mare mar ke bhii jiye
khelaa usii tarah se kiye zindagii se ham
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
dii shab-e-vasl mo.azzin ne azaa.n pichhlii raat
haa.e kam-baKHt ko kis vaqt KHudaa yaad aayaa
Dagh Dehlvi
Sher
sard-mehrii se tirii garmii-e-ulfat na rahii
dil me.n uThtaa thaa jo har-dam vo sharaara bhii gayaa
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
hamaarii laash gulistaa.n me.n dafn kar sayyaad
chaman se duur ko.ii nauha-KHvaa.n rahe na rahe