SEARCH RESULTS
Showing search results for "vasl-e-sham.a"
Sher MATCHES FOR "vasl-e-sham.a"
Sher
ham ruu-ba-ruu-e-sham.a hai.n is intizaar me.n
kuchh jaa.n paro.n me.n aa.e to u.D kar nisaar ho.n
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
Taufeeq Hyderabadi
Sher
yahii bahut the mujhe naan o aab o sham.a o gul
safar-nazhaad thaa asbaab muKHtasar rakkhaa
Afzal Ahmad Syed
Sher
KHaamosh is tarah se na jal kar dhu.aa.n uThaa
ai sham.a kuchh to bol kabhii to zabaa.n uThaa
Qadr Oraizi
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
Fazil Jamili
Sher
haajat charaag kii hai kab anjuman me.n dil ke
maanind-e-sham.a raushan har ek ustuKHvaa.n hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
hone ko sahar aa.ii hai KHaamosh ho ai sham.a
tuu sozish-e-parvaana pe ro.egii kahaa.n tak
Shaghil Usmani
Sher
gayaa shabaab na paiGaam-e-vasl-e-yaar aayaa
jalaa do kaaT ke is naKHl me.n na baar aayaa
Mirza Raza Barq
Sher
yuu.n raahii-e-adam hu.ii baa-vasf-e-uzr-e-la.ng
mahsuus aaj tak na hu.e naqsh-e-paa-e-sham.a
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
diivaane chaahtaa hai agar vasl-e-yaar ho
teraa ba.Daa raqiib hai dil is se raah rakh
Joshish Azimabadi
Sher
vo tiira-baKHt huu.n ki 'hasan' merii bazm me.n
daaG-e-siyah charaaG hai aur duud aah-e-sham.a
Meer Hasan
Sher
shab-e-furqat nazar aate nahii.n aasaar-e-sahar
itnii zulmat hai ruKH-e-sham.a pe bhii nuur nahii.n
Barq Dehlvi
Sher
kahaa.n ham kahaa.n vasl-e-jaanaa.n kii 'hasrat'
bahut hai unhe.n ik nazar dekh lenaa
Hasrat Mohani
Sher
ai sham.a terii umr-e-taabii.ii hai ek raat
ha.ns kar guzaar yaa ise ro kar guzaar de
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
ai sham.a tujh pe raat ye bhaarii hai jis tarah
mai.n ne tamaam umr guzaarii hai is tarah
Natiq Lakhnavi
Sher
ronaa binaa-e-KHaana-KHaaraabii hai misl-e-sham.a
Tapke jo saqf-e-chashm ho to qasr-e-tan KHaraab