SEARCH RESULTS
Showing search results for "vusa.at-e-qudrat-e-haq"
Sher MATCHES FOR "vusa.at-e-qudrat-e-haq"
Sher
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
jahaa.n me.n ho ga.ii naa-haq tirii jafaa badnaam
kuchh ahl-e-shauq ko daar-o-rasan se pyaar bhii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
kaafii hai bahut vus.at-e-sahraa-e-zamaana
ham aur kahii.n Dhuu.nD nikaale.nge Thikaana
Iqbal Sohail
Sher
ta.ng aa gayaa huu.n vusat-e-mafhuum-e-ishq se
niklaa jo harf mu.nh se vo afsaana ho gayaa
Ahsan Marahravi
Sher
vus.at-e-mashrab-e-rindaa.n kaa nahii.n hai mahram
zaahid-e-saada hame.n be-sar-o-saamaa.n samjhaa
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
diivaano.n ko ab vus.at-e-sahraa nahii.n darkaar
vahshat ke liye saaya-e-diivaar bahut hai
Zehra Nigaah
Sher
phir ko.ii vus.at-e-aafaaq pe saaya Daale
phir kisii aa.nkh ke nuqte me.n utaaraa jaa.uu.n
Adil Mansuri
Sher
vus.at-e-sahraa bhii mu.nh apnaa chhupaa kar niklii
saarii duniyaa mire kamre ke baraabar niklii
Munawwar Rana
Sher
zaahid umiid-e-rahmat-e-haq aur hajv-e-mai
pahle sharaab pii ke gunaah-gaar bhii to ho
Ameer Minai
Sher
jii chaahtaa hai saane-e-qudrat pe huu.n nisaar
but ko biThaa ke saamne yaad-e-KHudaa karuu.n
Amanat Lakhnavi
Sher
gar shaiKH azm-e-manzil-e-haq hai to aa idhar
hai dil kii raah siidhii va ka.abe kii raah kaj
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
ye terii aarzuu me.n ba.Dhii vus.at-e-nazar
duniyaa hai sab mirii nigah-e-intizaar me.n
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
Agha Hajju Sharaf
Sher
naqshe to bahut saane-e-qudrat ne banaa.e
par ban na sakaa phir dahan aisaa kamar aisii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
KHaama-e-qudrat ne dil kaa naam ye kah kar likhaa
har jagah is lafz ke ma.anii badalte jaa.e.nge