SEARCH RESULTS
Showing search results for "yaar-dost"
Sher MATCHES FOR "yaar-dost"
Sher
ye dushmanii hai saaqii yaa dostii hai saaqii
auro.n ko jaam denaa mujh ko dikhaa dikhaa ke
Ali Jawad Zaidi
Sher
aish ke yaar to aGyaar bhii ban jaate hai.n
dost vo hai.n jo bure vaqt me.n kaam aate hai.n
Unknown
Sher
judaa ho mujh se miraa yaar ye KHudaa na kare
KHudaa kisii ke ta.ii.n dost se judaa na kare
Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni
Sher
kufr-o-iimaa.n se hai kyaa bahs ik tamannaa chaahiye
haath me.n tasbiih ho yaa dosh par zunnaar ho
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
zikr meraa aa.egaa mahfil me.n jab jab dosto
ro pa.De.nge yaad kar ke yaar sab yaarii mirii
Sada Ambalvi
Sher
Garaz ki kaaT diye zindagii ke din ai dost
vo terii yaad me.n ho.n yaa tujhe bhulaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
hai jab se dast-giir-e-junuu.n kuu-e-yaar me.n
phirtaa huu.n ek paa.nv se parkaar kii tarah
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
Gam-e-jahaa.n ho ruKH-e-yaar ho ki dast-e-aduu
suluuk jis se kiyaa ham ne aashiqaana kiyaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
achchhii-KHaasii dostii thii yaar ham dono.n ke biich
ek din phir us ne iz.haar-e-mohabbat kar diyaa
Ahmad Fazal Khan
Sher
zamaana dost hai kis kis ko yaad rakkhoge
KHudaa kare ki tumhe.n mujh se dushmanii ho jaa.e
Qabil Ajmeri
Sher
yaad aa.ii hai to phir TuuT ke yaad aa.ii hai
ko.ii guzrii hu.ii manzil ko.ii bhuulii hu.ii dost