SEARCH RESULTS
Showing search results for "yaaraa"
Sher MATCHES FOR "yaaraa"
Sher
KHud apne se milne kaa to yaaraa na thaa mujh me.n
mai.n bhii.D me.n gum ho ga.ii tanhaa.ii ke Dar se
Parveen Shakir
Sher
samajh rahe hai.n magar bolne kaa yaaraa nahii.n
jo ham se mil ke bichha.D jaa.e vo hamaaraa nahii.n
Iftikhar Arif
Sher
sabr ai dil ki ye haalat nahii.n dekhii jaatii
Thahr ai dard ki ab zabt kaa yaaraa na rahaa
Habeeb Ashar Dehlavi
Sher
yaaraa hai kahaa.n itnaa ki us yaar ko yaaro
mai.n ye kahuu.n ai yaar hai tuu yaar hamaaraa
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
hame.n KHabar thii bachaane kaa us me.n yaaraa nahii.n
so ham bhii Duub ga.e aur use pukaaraa nahii.n
Yasmeen Hameed
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
Ali Jawad Zaidi
Sher
ye na thii hamaarii qismat ki visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahte yahii intizaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
ham se ko.ii ta.alluq-e-KHaatir to hai use
vo yaar baa-vafaa na sahii bevafaa to hai
Jameel Malik
Sher
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rab
kyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa ho
Allama Iqbal
Sher
Jaun Eliya
Sher
Garaz ki kaaT diye zindagii ke din ai dost
vo terii yaad me.n ho.n yaa tujhe bhulaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
kaise aakaash me.n suuraaKH nahii.n ho saktaa
ek patthar to tabii.at se uchhaalo yaaro
Dushyant Kumar
Sher
baare duniyaa me.n raho Gam-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaa.n ki bahut yaad raho
Meer Taqi Meer
Sher
dushmanii laakh sahii KHatm na kiije rishta
dil mile yaa na mile haath milaate rahiye
Nida Fazli
Sher
zaahid sharaab piine de masjid me.n baiTh kar
yaa vo jagah bataa de jahaa.n par KHudaa na ho