SEARCH RESULTS
Showing search results for "yak-jaan"
Sher MATCHES FOR "yak-jaan"
Sher
yak-ba-yak jaa.n se guzarnaa to hai aasaa.n 'anjum'
qatra qatra ka.ii qisto.n me.n pighal kar dekhe.n
Anjum Irfani
Sher
vo tere bichha.Dne kaa samaa.n yaad jab aayaa
biite hu.e lamho.n ko sisakte hu.e dekhaa
Ishrat Qadri
Sher
duniyaa se 'yaas' jaane ko jii chaahtaa nahii.n
allaah re husn gulshan-e-naa-paa.edaar kaa
Yagana Changezi
Sher
Afroz Alam
Sher
ishq us kaa aan kar yak-baargii sab le gayaa
jaan se aaraam sar se hosh aur chashmo.n se KHvaab
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
ab hai du.aa ye apnii har shaam har sahar ko
yaa vo badan se lipTe yaa jaan tan se nikle
Rajab Ali Beg Suroor
Sher
Jaun Eliya
Sher
sad-yaad-e-yaad 'jaun' vo ha.ngaam-e-dil ki jab
ham ek gaam ke na the par haft-KHvaa.n ke the
Jaun Eliya
Sher
yaad mat rakhiyo ye ruudaad hamaarii hargiz
ham the vo taaj-mahal 'jaun' jo Dhaa.e bhii ga.e
Jaun Eliya
Sher
yaad-e-ayyaam ki ik mahfil-e-jaa.n thii ki jahaa.n
haath khii.nche bhii ga.e aur milaa.e bhii ga.e
Jaun Eliya
Sher
kyaa dekhtaa hai haath miraa chho.D de tabiib
yaa.n jaan hii badan me.n nahii.n nabz kyaa chale
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
vo KHush-nasiib the jinhe.n apnii KHabar na thii
yaa.n jab bhii aa.nkh kholiye aKHbaar dekhiye
Shahzad Ahmad
Sher
kartaa huu.n ek KHvaab ke mub.ham nuquush yaad
jab se khulii hai aa.nkh isii mashGale me.n huu.n
Ibraheem Hosh
Sher
Misdaque Azmi
Sher
aa.e hai.n sunte ki aisaa vaqt bhii aataa hai jab
ho davaa yaa phir du.aa kuchh kaargar hotaa nahii.n
Jatinder Vir Yakhmi jayaveer
Sher
tumhaarii yaad me.n ai jaan-e-jaanaa.n
december bhii guzartaa jaa rahaa hai