SEARCH RESULTS
Showing search results for "yak-pal"
Sher MATCHES FOR "yak-pal"
Sher
yaar par ilzaam kaisaa ai dil-e-KHaana-KHaraab
jo kiyaa tujh se tirii qismat ne us ne kyaa kiyaa
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
umiid hai hame.n fardaa ho yaa pas-e-fardaa
zaruur ho.egii sohbat vo yaar baaqii hai
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
aa.nkho.n se paa-e-yaar lagaane kii hai havas
halqa hamaare chashm kaa us kii rikaab ho
Sakhi Lakhnvi
Sher
paa-bos-e-yaar kii hame.n hasrat hai ai nasiim
aahista aa.iiyo tuu hamaare mazaar par
Rangin Saadat Yaar Khan
Sher
ab bhii aatii hai tirii yaad pa is karb ke saath
TuuTtii nii.nd me.n jaise ko.ii sapnaa dekhaa
Akhtar Imam Rizvi
Sher
jaan hii de dii 'jigar' ne aaj paa-e-yaar par
umr bhar kii be-qaraarii ko qaraar aa hii gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
tarraar zulf-e-yaar agar charKH par cha.Dhe
sonaa utaar le varaq-e-aaftaab se
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dil jalaa.o yaa diye aa.nkho.n ke darvaaze par
vaqt se pahle to aate nahii.n aane vaale
Sada Ambalvi
Sher
chup-chaap apne yaar kii dahliiz par mare
duniyaa kahegii ham bhii kisii chiiz par mare
Asad Awan
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
yaad to haq kii tujhe yaad hai par yaad rahe
yaar dushvaar hai vo yaad jo hai yaad kaa haq
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
shaayad tumhaarii yaad mire paas aa ga.ii
yaa hai mire hii dil kii sadaa sochnaa pa.Daa
Abrar Azmi
Sher
khilaa rahegaa kisii yaad ke jaziire par
ye baaG mai.n jise viiraan karne vaalaa huu.n