SEARCH RESULTS
Showing search results for "yak-sar-e-muu-e-bartar"
Sher MATCHES FOR "yak-sar-e-muu-e-bartar"
Sher
yaa saal o maah thaa tuu mire saath yaa to ab
barso.n me.n ek din kii mulaaqaat se gayaa
Aftab Shah Alam Sani
Sher
hariim-e-dil me.n Thahar yaa saraa-e-jaan me.n ruk
ye sab makaan hai.n tere kisii makaan me.n ruk
Mirza Athar Zia
Sher
dard kaa rasta hai yaa hai saa.at-e-roz-e-hisaab
saika.Do.n logo.n ko rokaa ek bhii Thahraa nahii.n
Amjad Islam Amjad
Sher
sad-yaad-e-yaad 'jaun' vo ha.ngaam-e-dil ki jab
ham ek gaam ke na the par haft-KHvaa.n ke the
Jaun Eliya
Sher
saamne us yaar ke bhii aur sar-e-darbaar bhii
ek ye dil thaa jise har baar KHuu.n karnaa pa.Daa
Majid Siddiqui
Sher
sair-e-bahaar-e-baaG se ham ko mu.aaf kiijiye
us ke KHayaal-e-zulf se 'dard' kise faraaG hai
Khwaja Meer Dard
Sher
bhii.D hai bar-sar-e-baazaar kahii.n aur chale.n
aa mire dil mire Gam-KHvaar kahii.n aur chale.n
Aitbar Sajid
Sher
yaad aatii hai achchhii sii ko.ii baat sar-e-shaam
phir sub.h talak sochte rahte hai.n vo kyaa thii
Shamim Abbas
Sher
zamaana bar-sar-e-aazaar thaa magar 'faanii'
ta.Dap ke ham ne bhii ta.Dpaa diyaa zamaane ko
Fani Badayuni
Sher
dekh use ra.ng-e-bahaar o sarv o gul aur juu.ebaar
ik u.Daa ik gir gayaa ik jal gayaa ik bah gayaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
KHalvat-saraa-e-yaar me.n pahu.nchegaa kyaa ko.ii
vo band-o-bast hai ki havaa kaa guzar nahii.n
Agha Hajju Sharaf
Sher
saamaan-e-dil ko be-sar-o-saamaaniyaa.n milii.n
kuchh aur bhii javaab the mere savaal ke
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
sar-e-saudaa pe tire sher-e-rasaa se 'aagaah'
silsila hashr kaa barpaa na hu.aa thaa so hu.aa
Baqar Agah Vellori
Sher
yaad aa.ii na kabhii be-sar-o-saamaanii me.n
dekh kar ghar ko Gariib-ul-vatanii yaad aa.ii
Waheed Akhtar
Sher
gulchii.n bahaar-e-gul me.n na kar man-e-sair-e-baaG
kyaa ham Gubaar daaman-e-baad-e-sabaa ke hai.n