SEARCH RESULTS
Showing search results for "yuusuf"
Sher MATCHES FOR "yuusuf"
Sher
barsaat tham chukii hai magar har shajar ke paas
itnaa to hai ki aap kaa daaman bhigo sake
Ahsan Yusuf Zai
Sher
dushmano.n kii dushmanii mere liye aasaan thii
KHarch aayaa dosto.n kii mezbaanii me.n bahut
Mohammad Yusuf Papa
Sher
ye adaa.e.n ye ishaare ye hasii.n qaul-o-qaraar
kitne aadaab ke parde me.n hai inkaar kii baat
Khalid Yusuf
Sher
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
use KHabar hai ki anjaam-e-vasl kyaa hogaa
vo qurbato.n kii tapish faasle me.n rakhtii hai
Khalid Yusuf
Sher
ab to tere husn kii har anjuman me.n dhuum hai
jis ne meraa haal dekhaa teraa diivaana hu.aa
Jameel Yusuf
Sher
hausla kis me.n hai yuusuf kii KHariidaarii kaa
ab to mah.ngaa.ii ke charche hai.n zuleKHaa.o.n me.n
Qateel Shifai
Sher
aa rahii hai chaah-e-yuusuf se sadaa
dost yaa.n tho.De hai.n aur bhaa.ii bahut
Altaf Hussain Hali
Sher
hai eid mai-kade ko chalo dekhtaa hai kaun
shahd o shakar pe TuuT pa.De roza-daar aaj
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
charaaG-e-husn-e-yuusuf jab ho raushan
rahe phir kis tarah zindaa.n a.ndheraa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Guruur-e-husn na kar jazba-e-zuleKHaa dekh
kiyaa hai ishq ne yuusuf Gulaam aashiq kaa
Shah Naseer
Sher
un kii mahfil me.n 'zafar' log mujhe chaahte hai.n
vo jo kal kahte the diivaana bhii saudaa.ii bhii
Yusuf Zafar
Sher
vahii ma.abuud hai 'naazim' jo hai mahbuub apnaa
kaam kuchh ham ko na masjid se na but-KHaane se
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
mai.n ne kahaa ki daava-e-ulfat magar Galat
kahne lage ki haa.n Galat aur kis qadar Galat