SEARCH RESULTS
Showing search results for "yuusuf-e-misr"
Sher MATCHES FOR "yuusuf-e-misr"
Sher
isii KHaatir to qatl-e-aashiqaa.n se man.a karte the
akele phir rahe ho yuusuf-e-be-kaarvaa.n ho kar
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
baat ye hai ki sabhii bhaa.ii mire dushman hai.n
mas.ala ye hai ki mai.n yuusuf-e-saanii bhii nahii.n
Khalid Karrar
Sher
ye zaKHm-e-anaa kaafii hai ai yuusuf-e-dauraa.n
is chashm-e-zuleKHaa ko tuu Gamnaak na karnaa
Baharunnisa Bahar
Sher
ai parii husn tiraa raunaq-e-hindustaa.n hai
husn-e-yuusuf hai faqat misr ke baazaar kaa ruup
Rind Lakhnavi
Sher
misr ko chho.D ke aa.ii hai jo hindustaa.n me.n
mere yuusuf kii zuleKHaa tuu KHariidaar hai kyaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
yaad us kii itnii KHuub nahii.n 'miir' baaz aa
naadaan phir vo jii se bhulaayaa na jaa.egaa
Meer Taqi Meer
Sher
bas ai 'miir' mizhgaa.n se po.nchh aa.nsu.o.n ko
tuu kab tak ye motii pirotaa rahegaa
Meer Taqi Meer
Sher
ham ne jaanaa thaa likhegaa tuu ko.ii harf ai 'miir'
par tiraa naama to ik shauq kaa daftar niklaa
Meer Taqi Meer
Sher
ahvaal-e-'miir' kyuu.nkar aaKHir ho ek shab me.n
ik umr ham ye qissa tum se kahaa kare.nge
Meer Taqi Meer
Sher
phirte hai.n 'miir' KHvaar ko.ii puuchhtaa nahii.n
is aashiqii me.n izzat-e-saadaat bhii ga.ii
Meer Taqi Meer
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
misl-e-aa.iina hai us rashk-e-qamar kaa pahluu
saaf idhar se nazar aataa hai udhar kaa pahluu
Meer Khaleeq
Sher
mujh ko shaa.er na kaho 'miir' ki saahab mai.n ne
dard o Gam kitne kiye jam.a to diivaan kiyaa
Meer Taqi Meer
Sher
jam gayaa KHuu.n kaf-e-qaatil pe tiraa 'miir' zi-bas
un ne ro ro diyaa kal haath ko dhote dhote