SEARCH RESULTS
Showing search results for "zaKHm-e-tamannaa"
Sher MATCHES FOR "zaKHm-e-tamannaa"
Sher
hamaare zaKHm-e-tamannaa puraane ho ga.e hai.n
ki us galii me.n ga.e ab zamaane ho ga.e hai.n
Jaun Eliya
Sher
zaKHm-e-dil daaG-e-jigar daaG-e-tamannaa kii qasam
chaa.nd se phuul se Dar ham ko yahaa.n hotaa hai
Daood Mohsin
Sher
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannaa mat puuchh
iid-e-nazzaara hai shamshiir kaa uryaa.n honaa
Mirza Ghalib
Sher
tum ne to hukm-e-tark-e-tamannaa sunaa diyaa
kis dil se aah tark-e-tamannaa kare ko.ii
Asrarul Haq Majaz
Sher
josh-e-takmiil-e-tamannaa hai KHudaa KHair kare
KHaak hone kaa andesha hai KHudaa KHair kare
Amar Singh Figar
Sher
ai intizaar-e-sub.h-e-tamannaa ye kyaa hu.aa
aataa hai ab KHayaal bhii teraa thakaa hu.aa
Khurshid Ahmad Jami
Sher
maatam-e-marg-e-tamannaa na samajh ai naadaa.n
zindagii bol rahii hai mire afsaane me.n
Shauq Asar Rampuri
Sher
ab nahii.n mile.nge ham kuucha-e-tamannaa me.n
kuucha-e-tamannaa me.n ab nahii.n mile.nge ham
Jaun Eliya
Sher
ik tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ahd-e-aaGaaz-e-tamannaa bhii mujhe yaad nahii.n
mahv-e-hairat huu.n ki itnaa bhii mujhe yaad nahii.n
Shaukat Pardesi
Sher
haa.n ye to bataa ai dil-e-mahruum-e-tamannaa
ab bhii ko.ii hotaa hai ki armaa.n nahii.n hotaa
Natiq Gulavthi
Sher
hai 'aarfii' ab ye asar-e-tark-e-tamannaa
aane lage vo aur bhii kuchh had se sivaa yaad
Abdul Hai Aarfi
Sher
banii hai.n shahr-aashob-e-tamannaa
KHumaar-aaluuda aa.nkhe.n raat-bhar kii
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
khaave.nge Taa.nke zaKHm-e-sar-o-ruu par ai tabiib
par zaKHm-e-dil to ham se silaayaa na jaa.egaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
zaKHm-e-nigaah zaKHm-e-hunar zaKHm-e-dil ke ba.ad
ik aur zaKHm tujh se bichha.D kar milaa mujhe
Akhtar Saeedi
Sher
phaT jaate hai.n zaKHm-e-dil-e-betaab ke a.nguur
saaqii tire haatho.n se jo saaGar nahii.n miltaa
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
zaKHm-e-shamshiir-e-nigah haif ki achchhaa na hu.aa
karne ko us kii davaa doctor a.ngrez aayaa