SEARCH RESULTS
Showing search results for "zaahir"
Sher MATCHES FOR "zaahir"
Sher
apne chehre se jo zaahir hai chhupaa.e.n kaise
terii marzii ke mutaabiq nazar aa.e.n kaise
Waseem Barelvi
Sher
Zaheer Kashmiri
Sher
zaahir kii aa.nkh se na tamaashaa kare ko.ii
ho dekhnaa to diida-e-dil vaa kare ko.ii
Allama Iqbal
Sher
mai.n de rahaa huu.n tujhe KHud se iKHtilaaf kaa haq
ye iKHtilaaf kaa haq hai muKHaalifat kaa nahii.n
Sanaullah Zaheer
Sher
siirat na ho to aariz-o-ruKHsaar sab Galat
KHushbuu u.Dii to phuul faqat rang rah gayaa
Zaheer Kashmiri
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
shirkat gunaah me.n bhii rahe kuchh savaab kii
tauba ke saath to.Diye botal sharaab kii
Zaheer Dehlvi
Sher
mai.n kisii aur zamaane ke liye huu.n shaayad
is zamaane me.n hai mushkil miraa zaahir honaa
Zafar Iqbal
Sher
us sitamgar kii haqiiqat ham pe zaahir ho ga.ii
KHatm KHush-fahmii kii manzil kaa safar bhii ho gayaa
Habib Jalib
Sher
'Gaalib' na kar huzuur me.n tuu baar baar arz
zaahir hai teraa haal sab un par kahe baGair
Mirza Ghalib
Sher
samjhe.nge na aGyaar ko aGyaar kahaa.n tak
kab tak vo mohabbat ko mohabbat na kahe.nge
Zaheer Dehlvi
Sher
ba-zaahir ek hii shab hai firaaq-e-yaar magar
ko.ii guzaarne baiThe to umr saarii lage
Ahmad Faraz
Sher
ye alag baat ki vo dil se kisii aur kaa thaa
baat to us ne hamaarii bhii ba-zaahir rakkhii
Zafar Ajmi
Sher
chaahat kaa jab mazaa hai ki vo bhii ho.n be-qaraar
dono.n taraf ho aag baraabar lagii hu.ii