SEARCH RESULTS
Showing search results for "zabaa.n-haa-e-laal"
Sher MATCHES FOR "zabaa.n-haa-e-laal"
Sher
kis gul ke tasavvur me.n hai ai laala jigar-KHuu.n
ye daaG kaleje pe uThaanaa nahii.n achchhaa
Bhartendu Harishchandra
Sher
ye saazisho.n kaa daur hai ai tishna-lab hayaat
paanii talaash karnaa samundar ko chho.D kar
Wafa Naqvi
Sher
kisii ke dil me.n utarnaa hai kaar-e-laa-haasil
ki saarii dhuup to hai aaftaab se baahar
Faheem Shanas Kazmi
Sher
zamiir-e-laala mai-e-laal se hu.aa labrez
ishaara paate hii suufii ne to.D dii parhez
Allama Iqbal
Sher
zabaan-e-haal se ye lucknow kii KHaak kahtii hai
miTaayaa gardish-e-aflaak ne jaah-o-hasham meraa
Chakbast Braj Narayan
Sher
na zaqan hai vo na lab hai.n na vo pistaa.n na vo qad
seb o unnaab o anaar ek shajar se nikle
Hatim Ali Mehr
Sher
shams-o-qamar se aur kabhii kahkashaa.n se ham
guzre hai.n laakh baar had-e-laa-makaa.n se ham
Sailani Sevte
Sher
ab bhii koh-e-tuur par goyaa zabaan-e-haal se
hai ko.ii aur us ke jalve kaa tamannaa.ii ki bas
Raees Rampuri
Sher
puuchhaa hai haal-e-zaar to sun lo KHataa-mu.aaf
kuchh baat mere ho.nTo.n me.n hai kuchh zabaan me.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
aa.e.n pasand kyaa use duniyaa kii raahate.n
jo lazzat-aashnaa-e-sitam-haa-e-naaz thaa
Jagat Mohan Lal Ravan
Sher
jo husn-o-ishq kaa ham-vazn imtihaa.n Thahraa
vo be-dahan nazar aayaa me.n be-zabaa.n Thahraa
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
dikhaa ke jumbish-e-lab hii tamaam kar ham ko
na de jo bosa to mu.nh se kahii.n javaab to de
Mirza Ghalib
Sher
haal-e-dil likhte na logo.n kii zabaa.n me.n pa.Dte
vaj.h-e-a.ngusht-numaa.ii ye qalam hai ham ko
Dattatriya Kaifi
Sher
aisaa na ho ye dard bane dard-e-laa-davaa
aisaa na ho ki tum bhii mudaavaa na kar sako
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
bismilo.n se bosa-e-lab kaa jo va.ada ho gayaa
KHud-ba-KHud har zaKHm kaa anguur miiThaa ho gayaa