SEARCH RESULTS
Showing search results for "zafar-shaah"
Sher MATCHES FOR "zafar-shaah"
Sher
tum ne kiyaa na yaad kabhii bhuul kar hame.n
ham ne tumhaarii yaad me.n sab kuchh bhulaa diyaa
Bahadur Shah Zafar
Sher
kitnaa hai bad-nasiib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamiin bhii na milii kuu-e-yaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
hai.n jitne mohre yahaa.n saare piTne vaale hai.n
kise mai.n shah karuu.n apnaa kise Gulaam karuu.n
zafar iqbal zafar
Sher
na duu.ngaa dil use mai.n ye hamesha kahtaa thaa
vo aaj le hii gayaa aur 'zafar' se kuchh na hu.aa
Bahadur Shah Zafar
Sher
ai vaa.e inqalaab zamaane ke jaur se
dillii 'zafar' ke haath se pal me.n nikal ga.ii
Bahadur Shah Zafar
Sher
roz maamuura-e-duniyaa me.n KHaraabii hai 'zafar'
aisii bastii ko to viiraana banaayaa hotaa
Bahadur Shah Zafar
Sher
'zafar' badal ke radiif aur tuu Gazal vo sunaa
ki jis kaa tujh se har ik sher intiKHaab hu.aa
Bahadur Shah Zafar
Sher
in hasrato.n se kah do kahii.n aur jaa base.n
itnii jagah kahaa.n hai dil-e-daaG-daar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
but-parastii jis se hove haq-parastii ai 'zafar'
kyaa kahuu.n tujh se ki vo tarz-e-parastish aur hai
Bahadur Shah Zafar
Sher
saham kar ai 'zafar' us shoKH kamaa.n-daar se kah
khii.nch kar dekh mire siine se tuu tiir na to.D
Bahadur Shah Zafar
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
baat karnii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii
jaisii ab hai tirii mahfil kabhii aisii to na thii
Bahadur Shah Zafar
Sher
Ahmad Zafar
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
kyuu.n tiirgii se is qadar maanuus huu.n 'zafar'
ik sham-e-rah-guzaar ki sahar tak jalii bhii hai
Ahmad Zafar
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
bulbul ko baaGbaa.n se na sayyaad se gila
qismat me.n qaid likkhii thii fasl-e-bahaar me.n