SEARCH RESULTS
Showing search results for "zainab"
Sher MATCHES FOR "zainab"
Sher
kyuu.n sakiina aur zainab is qadar KHaamosh hai.n
duur tak sahraa me.n dekho KHaamushii hai karbalaa
Nuzhat Abbasi
Sher
hai intihaa kaa hasii.n suurat-e-gulaab hai vo
faqat hamaare sivaa sab ko dastyaab hai vo
Almas Zainab Rizvi
Sher
ham zindagii pe dete hai.n tarjiih maut ko
ham to nahii.n hai.n tere talab-gaar zindagii
Almas Zainab Rizvi
Sher
hame.n nahii.n hai KHabar kaun kis ke saath me.n hai
azal se ye dil-e-kambaKHt bas tumhaaraa hai
Almas Zainab Rizvi
Sher
un ke baGair dil nahii.n lagtaa makaan me.n
maa.n gar nahii.n to kuchh bhii nahii.n hai jahaan me.n
Almas Zainab Rizvi
Sher
logo.n kaa ik hujuum thaa matlab ke vaaste
chaahe jo dil se ek bhii aisaa nahii.n milaa
Almas Zainab Rizvi
Sher
tumhaarii diid kii KHvaahish liye vo baiThe hai.n
tumhaarii diid hii biimaar kii shifaa Thahrii
Almas Zainab Rizvi
Sher
tumhe.n jo dekh le ik baar dekhtaa rah jaa.e
tumhaaraa husn mohabbat kaa isti'aara hai
Almas Zainab Rizvi
Sher
Saba Afghani
Sher
baap ziina hai jo le jaataa hai uu.nchaa.ii tak
maa.n du.aa hai jo sadaa saaya-figan rahtii hai
Sarfraz Nawaz
Sher
hazaar talKH ho.n yaade.n magar vo jab bhii mile
zabaa.n pe achchhe dino.n kaa hii zaa.iqa rakhnaa
Iftikhar Naseem
Sher
muflisii bhuuk ko shahvat se milaa detii hai
gandumii lams me.n hai zaa.iqa-e-naan-e-javii.n
Abdul Ahad Saaz
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
Parvez Shahidi
Sher
harf apne hii ma.aanii kii tarah hotaa hai
pyaas kaa zaa.iqa paanii kii tarah hotaa hai
Faisal Ajmi
Sher
meraa karb mirii tanhaa.ii kii ziinat
mai.n chehro.n ke jangal kaa sannaaTaa huu.n
Ambar Bahraichi
Sher
aap ko KHuun ke aa.nsuu hii rulaanaa hogaa
haal-e-dil kahne ko ham apnaa agar baiTh ga.e