SEARCH RESULTS
Showing search results for "zalzale"
Sher MATCHES FOR "zalzale"
Sher
zalzale yuu.nhii zamiino.n pe nahii.n aate hai.n
ko.ii betaab tah-e-KHaak ta.Daptaa hogaa
Unknown
Sher
huduud-e-dil se jo guzraa vo jaan-levaa thaa
yuu.n zalzale to ka.ii is jahaan me.n aa.e
Khaleel Tanveer
Sher
ik zalzale ke shor me.n sab log dab ga.e
ho ab bayaa.n tabaahii kii tafsiil kis tarah
Imran Raqim
Sher
zalzala nepal me.n aayaa ki hindostaan me.n
zalzale ke naam se tharraa uThaa saaraa jahaa.n
Kamal Jafari
Sher
Shahid Jameel
Sher
jo zalzale mire qalb-o-jigar me.n uThte hai.n
agar zamiin me.n uThte daraaz kar dete
Haleem Sabir
Sher
kitaab-e-KHaak pa.Dhii zalzale kii raat us ne
shaguft-e-gul ke zamaane me.n vo yaqii.n laayaa
Afzal Ahmad Syed
Sher
kyuu.n tire dard ko de.n tohmat-e-viiraanii-e-dil
zalzalo.n me.n to bhare shahr uja.D jaate hai.n
Mohsin Naqvi
Sher
zalzala aayaa aur aa kar ho gayaa ruKHsat magar
vaqt ke ruKH par tabaahii kii ibaarat likh gayaa
Faraz Hamidi
Sher
maanaa ki zalzala thaa yahaa.n kam bahut hii kam
bastii me.n bach ga.e the makaa.n kam bahut hii kam
P P Srivastava Rind
Sher
zavaal-e-asr hai kuufe me.n aur gadaagar hai.n
khulaa nahii.n ko.ii dar baab-e-iltijaa ke sivaa
Muneer Niyazi
Sher
zalzala aayaa to diivaaro.n me.n dab jaa.uu.ngaa
log bhii kahte hai.n ye ghar bhii Daraataa hai mujhe
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
tuufaan aa.e shahr me.n yaa ko.ii zalzala
mujh ko kisii bhii baat kaa ab Dar nahii.n rahaa
Saifi sironji
Sher
barq baaraa.n tiirgii aur zalzala
badlaa badlaa saa hai mausam kaa mizaaj