SEARCH RESULTS
Showing search results for "zarf-e-nigaah"
Sher MATCHES FOR "zarf-e-nigaah"
Sher
S A Mehdi
Sher
shah dil ko mil ga.ii hai phir un kii nigaah se
phir shauq Dhuu.nDhtaa hai dil-o-jaa.n na.e na.e
Syeda Shan-e-Meraj
Sher
rusvaa agar na karnaa thaa aalam me.n yuu.n mujhe
aisii nigaah-e-naaz se dekhaa thaa kyuu.n mujhe
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
girnii thii ham pe barq-e-tajallii na tuur par
dete hai.n baada zarf-e-qadah-KHvaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
zaKHm-e-shamshiir-e-nigah haif ki achchhaa na hu.aa
karne ko us kii davaa doctor a.ngrez aayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
chhalak na jaa.uu.n kahii.n mai.n vujuud se apne
hunar diyaa hai to phir zarf-e-kibriyaa.ii de
Obaidullah Aleem
Sher
zarf-e-vazuu hai jaam hai ik KHam hai ik subuu
ik boriyaa hai mai.n huu.n mirii KHaanqaah hai
Riyaz Khairabadi
Sher
mahv yuu.n ho ga.e alfaaz-e-du.aa vaqt-e-du.aa
haath se zarf-e-talab chhuuT gayaa ho jaise
Salik Lakhnavi
Sher
Anand Narayan Mulla
Sher
Qayem Chaandpuri
Sher
jazb-e-nigaah-e-sho.abada-gar dekhte rahe
duniyaa unhii.n kii thii vo jidhar dekhe rahe
Arzoo Lakhnavi
Sher
mai.n dekhtaa huu.n aap ko hadd-e-nigaah tak
lekin mirii nigaah kaa kyaa e'tibaar hai
Seemab Akbarabadi
Sher
yahii zamaana-e-haazir kii kaa.enaat hai kyaa
dimaaG raushan o dil tiira o nigah bebaak
Allama Iqbal
Sher
har siina aah hai tire paikaa.n kaa muntazir
ho intiKHaab ai nigah-e-yaar dekh kar