SEARCH RESULTS
Showing search results for "zaruurii"
Sher MATCHES FOR "zaruurii"
Sher
ye zaruurii hai ki aa.nkho.n kaa bharam qaa.em rahe
nii.nd rakkho yaa na rakkho KHvaab meyaarii rakho
Rahat Indori
Sher
thake-haare parinde jab basere ke liye lauTe.n
saliiqa-ma.nd shaaKHo.n kaa lachak jaanaa zaruurii hai
Waseem Barelvi
Sher
nii.nd to dard ke bistar pe bhii aa saktii hai
un kii aaGosh me.n sar ho ye zaruurii to nahii.n
Khamosh Ghazipuri
Sher
nazar me.n duur talak rahguzar zaruurii hai
kisii bhii samt ho lekin safar zaruurii hai
Obaidur Rahman
Sher
hazaar rang me.n mumkin hai dard kaa iz.haar
tire firaaq me.n marnaa hii kyaa zaruurii hai
Shuja Khaavar
Sher
jaan-e-tanhaa pe guzar jaa.e.n hazaaro.n sadme
aa.nkh se ashk ravaa.n ho.n ye zaruurii to nahii.n
Sahir Ludhianvi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
Waseem Barelvi
Sher
ishq me.n ye majbuurii to ho jaatii hai
duniyaa Gair-zaruurii to ho jaatii hai
Aftab Iqbal Shamim
Sher
har shab-e-Gam kii sahar ho ye zaruurii hai magar
sab kii taabinda sahar ho ye zaruurii to nahii.n
Habeeb Hashmi
Sher
mere naalo.n me.n asar ho ye zaruurii to nahii.n
har shab-e-Gam kii sahar ho ye zaruurii to nahii.n
Nusrat Hashmi
Sher
tiraa nizaam hai sil de zabaan-e-shaa.er ko
ye ehtiyaat zaruurii hai is bahar ke liye
Dushyant Kumar
Sher
Zahida Zaidi
Sher
Wamiq Jaunpuri
Sher
jis ko KHush rahne ke saamaan mayassar sab ho.n
us ko KHush rahnaa bhii aa.e ye zaruurii to nahii.n
Unknown
Sher
mire andar ka.ii ehsaas patthar ho rahe hai.n
ye shiiraaza bikharnaa ab zaruurii ho gayaa hai