SEARCH RESULTS
Showing search results for "zaruurii"
Ghazal MATCHES FOR "zaruurii"
Ghazal
ye zaruurii hai ki aa.nkho.n kaa bharam qaa.em rahe
niind rakho yaa na rakho KHvaab meyaarii rakho
Rahat Indori
Ghazal
Waseem Barelvi
Ghazal
vo sitaara hai chamakne do yuu.nhii aa.nkho.n me.n
kyaa zaruurii hai use jism banaa kar dekho
Nida Fazli
Ghazal
hazaaro.n bhes me.n phirte hai.n raam aur rahiim
ko.ii zaruurii nahii.n hai bhalaa bhalaa hii lage
Bashir Badr
Ghazal
us ko bhii ham se mohabbat ho zaruurii to nahii.n
ishq hii ishq kii qiimat ho zaruurii to nahii.n
Saba Akbarabadi
Ghazal
umr jalvo.n me.n basar ho ye zaruurii to nahii.n
har shab-e-Gam kii sahar ho ye zaruurii to nahii.n
Khamosh Ghazipuri
Ghazal
zindagii marka-e-ruuh-o-badan hai 'mushtaaq'
ishq ke saath zaruurii hai havas kaa honaa
Ahmad Mushtaq
Ghazal
kaam sab Gair-zaruurii hai.n jo sab karte hai.n
aur ham kuchh nahii.n karte hai.n Gazab karte hai.n
Rahat Indori
Ghazal
Waseem Barelvi
Ghazal
Amir Ameer
Ghazal
ab raat kii diivaar ko Dhaanaa hai zaruurii
ye kaam magar mujh se akele nahii.n hogaa
Shahryar
Ghazal
Madan Mohan Danish
Ghazal
taaza Gazal zaruurii hai mahfil ke vaaste
suntaa nahii.n hai ko.ii dobaara sunii hu.ii
Munawwar Rana
Ghazal
bas ek huuk sii dil se uThe ghaTaa kii tarah
ki harf o saut zaruurii nahii.n du.aa ke liye
Shaz Tamkanat
Ghazal
Gam har ik aa.nkh ko chhalkaa.e zaruurii to nahii.n
abr uThe aur baras jaa.e zaruurii to nahii.n