SEARCH RESULTS
Showing search results for "ze-rah"
Sher MATCHES FOR "ze-rah"
Sher
rakh diyaa KHalq ne naam us kaa qayaamat ai 'zeb'
ko.ii fitna jo zamaane se uThaayaa na gayaa
Zeb Usmania
Sher
'zeb' mujhe Dar lagne lagaa hai apne KHvaabo.n se
jaagte jaagte dard rahaa kartaa hai mire sar me.n
Zeb Ghauri
Sher
vo mere saamne KHanjar-ba-kaf kha.Daa thaa 'zeb'
mai.n dekhtaa rahaa us ko ki be-naqaab thaa vo
Zeb Ghauri
Sher
shaayad ab bhii ko.ii sharar baaqii ho 'zeb'
dil kii raakh se aa.nch aatii hai kam kam sii
Zeb Ghauri
Sher
hu.aa na qurb-e-ta.alluq kaa iKHtisaas yahaa.n
ye ruu-shanaas zi-raa-e-ba.iida aayaa thaa
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
mirii jagah ko.ii aa.iina rakh liyaa hotaa
na jaane tere tamaashe me.n meraa kaam hai kyaa
Zeb Ghauri
Sher
kis sher kii aamad hai ki ran kaa.np rahaa hai
rustam kaa jigar zer-e-kafan kaa.np rahaa hai
Mirza Salaamat Ali Dabeer
Sher
chamak rahaa hai KHema-e-raushan duur sitaare saa
dil kii kashtii tair rahii hai khule samundar me.n
Zeb Ghauri
Sher
ulaT rahii thii.n havaa.e.n varaq varaq us kaa
likhii ga.ii thii jo miTTii pe vo kitaab thaa vo
Zeb Ghauri
Sher
uksaa rahaa hai tark-e-ta'alluq pe dil mujhe
jitnaa bhii jaldii ho sake ai dost mil mujhe
Tauheed Zeb
Sher
ab mujh se ye duniyaa miraa sar maa.ng rahii hai
kambaKHt mire aage savaalii hii rahegii