SEARCH RESULTS
Showing search results for "zevar-e-gul-haa-e-tar"
Sher MATCHES FOR "zevar-e-gul-haa-e-tar"
Sher
mujhe to ranj qabaa-haa-e-taar-taar kaa hai
KHizaa.n se ba.Dh ke gulo.n par sitam bahaar kaa hai
Shaukat Wasti
Sher
rang-e-shikasta sub.h-e-bahaar-e-nazaara hai
ye vaqt hai shaguftan-e-gul-haa-e-naaz kaa
Mirza Ghalib
Sher
bulbul ke kaarobaar pe hai.n KHanda-haa-e-gul
kahte hai.n jis ko ishq KHalal hai dimaaG kaa
Mirza Ghalib
Sher
Sarvat Husain
Sher
tashbiih tire chehre ko kyaa duu.n gul-e-tar se
hotaa hai shagufta magar itnaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
agarche saaGar-e-gul hai tamaam-tar be-buud
chhalak rahaa hai chaman me.n magar sharaab-e-vajuud
Asghar Gondvi
Sher
KHaaro.n se ye kah do ki gul-e-tar se na uljhe.n
siikhe ko.ii andaaz-e-shariifaana hamaaraa
Shad Azimabadi
Sher
Taashshuq Lakhnavi
Sher
royaa tamaam umr vo shabnam ke saath saath
phir kyo.n kahuu.n ki dard-e-gul-e-tar me.n kuchh na thaa
Qamar Rais Bahraichi
Sher
muddat se gum hu.aa dil-e-begaana ai 'siraaj'
shaayad ki jaa lagaa hai kisii aashnaa ke haath
Siraj Aurangabadi
Sher
hai taa-hadd-e-imkaa.n ko.ii bastii na bayaabaa.n
aa.nkho.n me.n ko.ii KHvaab dikhaa.ii nahii.n detaa
Syed Amin Ashraf
Sher
vo kuucha sher-o-suKHan kaa hai ta.ng-o-taar ai 'bahr'
ki suujhte nahii.n ma.anii ba.De zahiino.n ko
Imdad Ali Bahr
Sher
baiThe hu.e raqiib hai.n dilbar ke aas-paas
kaa.nTo.n kaa hai hujuum gul-e-tar ke aas-paas
Jigar Moradabadi
Sher
yuu.n aa.o mire pahluu me.n tum ghar se nikal kar
buu aatii hai jis tarah gul-e-tar se nikal kar
Dattatriya Kaifi
Sher
garmii-e-shauq-e-nazaara kaa asar to dekho
gul khile jaate hai.n vo saaya-e-tar to dekho
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
shaaKHo.n se barg-e-gul nahii.n jha.Dte hai.n baaG me.n
zevar utar rahaa hai uruus-e-bahaar kaa