SEARCH RESULTS
Showing search results for "ziishaa.n"
Sher MATCHES FOR "ziishaa.n"
Sher
mai.n zindagii ke sabhii Gam bhulaa.e baiThaa huu.n
tumhaare ishq se kitnii mujhe sahuulat hai
Zeeshan Sahil
Sher
kis qadar mahduud kar detaa hai Gam insaan ko
KHatm kar detaa hai har ummiid har imkaan ko
Zeeshan Sahil
Sher
muddato.n KHud se mulaaqaat nahii.n hotii hai
raat hotii hai magar raat nahii.n hotii hai
Zeeshan Niyazi
Sher
khi.Dkii ke raste se laayaa kartaa huu.n
mai.n baahar kii duniyaa KHaalii kamre me.n
Zeeshan Sahil
Sher
fazaa.e.n raqs me.n hai.n aur baras rahii hai sharaab
kisii ne jaam suu-e-asmaa.n uchhaalaa hai
Zeeshan Niyazi
Sher
kitne hai.n log KHud ko jo kho kar udaas hai.n
aur kitne apne-aap ko paa kar bhii KHush nahii.n
Zeeshan Sahil
Sher
jo hame.n paa ke bhii khone se bahut piichhe thaa
ham use kho ke bhii paane se bahut aage hai.n
Zeeshan Sahil
Sher
vo daastaan mukammal kare to achchhaa hai
mujhe milaa hai zaraa saa siraa kahaanii kaa
Zeeshan Sahil
Sher
ko.ii aa ke hame.n Dhuu.nDegaa to kho jaa.egaa
ham na.e Gam me.n puraane se bahut aage hai.n
Zeeshan Sahil
Sher
Zeeshan Niyazi
Sher
bas ek rang hai dil me.n kisii ke hone se
ab apne-aap ko is se bhii saada kyaa karnaa
Zeeshan Sahil
Sher
ab to ye shaayad kisii bhii kaam aa saktaa nahii.n
aap hii le jaa.iye mere dil-e-naadaan ko