SEARCH RESULTS
Showing search results for "zor"
Sher MATCHES FOR "zor"
Sher
ishq par zor nahii.n hai ye vo aatish 'Gaalib'
ki lagaa.e na lage aur bujhaa.e na bane
Mirza Ghalib
Sher
sarfaroshii kii tamannaa ab hamaare dil me.n hai
dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil me.n hai
Bismil Azimabadi
Sher
shah-zor apne zor me.n girtaa hai misl-e-barq
vo tifl kyaa giregaa jo ghuTno.n ke bal chale
Mirza Azeem Beg 'Azeem'
Sher
KHvaabo.n par iKHtiyaar na yaado.n pe zor hai
kab zindagii guzaarii hai apne hisaab me.n
Fatima Hasan
Sher
puuchhegaa jo KHudaa to ye kah de.nge hashr me.n
haa.n haa.n gunah kiyaa tirii rahmat ke zor par
Unknown
Sher
agarche zor havaa.o.n ne Daal rakkhaa hai
magar charaaG ne lau ko sambhaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Sher
jaankaarii khel lafzo.n kaa zabaa.n kaa shor hai
jo bahut kam jaantaa hai vo yahaa.n shah-zor hai
Ahmad Shanas
Sher
na hu.aa par na hu.aa 'miir' kaa andaaz nasiib
'zauq' yaaro.n ne bahut zor Gazal me.n maaraa
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Shuja Khaavar
Sher
vo kahte hai.n kyaa zor uThaa.oge tum ai 'daaG'
tum se to miraa naaz uThaayaa nahii.n jaataa
Dagh Dehlvi
Sher
aa.ndhiyaa.n zor dikhaa.e.n bhii to kyaa hotaa hai
gul khilaane kaa hunar baad-e-sabaa jaantii hai
Manzar Bhopali
Sher
Muneer Niyazi
Sher
Aleena Itrat
Sher
zor se saa.ns jo letaa huu.n to akasr shab-e-Gam
dil kii aavaaz ajab dard bharii aatii hai
Bashiruddin Ahmad Dehlvi
Sher
kis tarah tujh se mulaaqaat mayassar hove
ye du.aa-go tiraa ne zor na zar rakhtaa hai