SEARCH RESULTS
Showing search results for "'mahak'"
Ghazal MATCHES FOR "'mahak'"
Ghazal
jab tujhe yaad kar liyaa sub.h mahak mahak uThii
jab tiraa Gam jagaa liyaa raat machal machal ga.ii
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
mahak rahii hai zamii.n chaa.ndnii ke phuulo.n se
KHudaa kisii kii mohabbat pe muskuraayaa hai
Bashir Badr
Ghazal
surKH phuulo.n se mahak uThtii hai.n dil kii raahe.n
din Dhale yuu.n tirii aavaaz bulaatii hai hame.n
Shahryar
Ghazal
ajab mahak thii mire gul tire shabistaa.n kii
so bulbulo.n ke vahaa.n aashiyaane ho ga.e hai.n
Jaun Eliya
Ghazal
saa.nso.n me.n ghul rahii hai kisii saa.ns kii mahak
daaman ko chhuu rahaa hai ko.ii haat kyaa kare.n
Sahir Ludhianvi
Ghazal
jis kii KHushbuu se mahak jaa.e pa.Dosii kaa bhii ghar
phuul is qism kaa har samt khilaayaa jaa.e
Gopaldas Neeraj
Ghazal
niklaa jo chaa.nd aa.ii mahak tez sii 'muniir'
mere sivaa bhii baaG me.n ko.ii zaruur thaa
Muneer Niyazi
Ghazal
manzil hai us mahak kii kahaa.n kis chaman me.n hai
us kaa pata safar me.n havaa ne nahii.n diyaa
Muneer Niyazi
Ghazal
mujh me.n basii hu.ii thii kisii aur kii mahak
dil bujh gayaa ki raat vo barham nahii.n milaa
Saqi Faruqi
Ghazal
chamaktaa rahtaa hai suuraj-mukhii me.n ko.ii aur
mahak rahaa hai ko.ii aur raat-raanii me.n
Rahat Indori
Ghazal
Jaun Eliya
Ghazal
bas aas-paas ye suuraj hai aur kuchh bhii nahii.n
mahak rahaa to huu.n lekin mai.n regzaar me.n huu.n