SEARCH RESULTS
Showing search results for "اتوار"
Ghazal MATCHES FOR "اتوار"
Ghazal
apnii yaado.n se kaho ik din kii chhuTTii de mujhe
ishq ke hisse me.n bhii itvaar honaa chaahiye
Munawwar Rana
Ghazal
duniyaa me.n sadaa chaltii hai chaahat kii hukuumat
aa jaa.o manaa le.nge ham itvaar kisii din
Badr Wasti
Ghazal
rah kar zamii.n pe chaa.nd ke diidaar ke liye
daftar me.n din guzarte hai.n itvaar ke liye
Om Awasthi
Ghazal
mushkil se aataa hai aur u.D jaataa hai
is hafte itvaar chhupaa kar rakhnaa tum
Bhaskar Shukla
Ghazal
nazar un se ye sunday ko baaGiiche me.n milii aisii
ki ab hafte ke har din ko mujhe itvaar karnaa hai
Anand Verma
Ghazal
aaj milnaa hai kahaa piir ko us ne 'kaashif'
mai.n ne reply kiyaa jaan ye itvaar nahii.n
Kashif Shakeel
Ghazal
Pratap Somvanshi
Ghazal
ye sach hai vo har hafte hii aataa hai
sab kii qismat me.n itvaar nahii.n hotaa
Pratap Somvanshi
Ghazal
haakim-e-vaqt yuu.n maGruur na ban hosh me.n aa
piir aataa hai to itvaar badal jaataa hai
Aadil Rahi
Ghazal
daftar me.n bekaar kii baate.n karte rahiye
hafte-bhar itvaar kii baate.n karte rahiye
Shariq Kaifi
Ghazal
qaraar ye thaa ki itvaar ke din aa.uu.ngaa
kahaa thaa mai.n ne ga.e mere iztiraab ke din
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Ghazal
ishq karnaa hai to chhuTTii nahii.n karnii ko.ii
ishq me.n ek bhii itvaar nahii.n hai bhaa.ii
Akbar Hameedi
Ghazal
zindagii piir se hafte ko agar khii.nch bhii ga.ii
maut aaraam se itvaar ko khaa jaa.egii