SEARCH RESULTS
Showing search results for "اجل"
Ghazal MATCHES FOR "اجل"
Ghazal
aaj ham daar pe khii.nche ga.e jin baato.n par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n me.n mile.n
Ahmad Faraz
Ghazal
jannat me.n bhii 'momin' na milaa haa.e buto.n se
jaur-e-ajal-e-tafraqa-pardaaz to dekho
Momin Khan Momin
Ghazal
har ik qadam ajal thaa har ik gaam zindagii
ham ghuum phir ke kuucha-e-qaatil se aa.e hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
kahaa.n kaa sail-e-ajal taa-kinaar-gaah-e-iid
mai.n huu.n adam me.n sabhii ko lataa.D Daaluu.ngaa
Jaun Eliya
Ghazal
nazar Gazaal mohabbat naqaab jhiil ajal
suruur-e-ishq taqaddus fareb-e-amr-o-nahii
Shahzad Qais
Ghazal
kam-zarf pur-Guruur zaraa apnaa zarf dekh
maanind josh-e-Gam na ziyaada ubal ke chal
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
unhii pe ho kabhii naazil azaab aag ajal
vahii nagar kabhii Thahre.n payambaro.n vaale
Mohsin Naqvi
Ghazal
kahtaa tiraa kuchh soKHta-jaa.n lek ajal ne
fursat na use misl-e-charaaG-e-saharii dii
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
kaho ajal se zaraa do gha.Dii Thahar jaa.e
sunaa hai aane kaa va.ada nibhaa rahaa hai ko.ii
Sardar Anjum
Ghazal
yahii kah kar ajal ko qarz-KHvaaho.n kii tarah Taalaa
ki le kar aaj qaasid yaar kaa paiGaam aa.egaa
Shad Azimabadi
Ghazal
mire jahaa.n me.n zamaan-o-makaan-o-lail-o-nahaar
tire jahaa.n me.n azal hai abad na aaj na kal
Ahmad Faraz
Ghazal
ab daur-e-aasmaa.n hai na daur-e-hayaat hai
ai dard-e-hijr tuu hii bataa kitnii raat hai
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
jabr se ek hu.aa zaa.eqa-e-hijr-o-visaal
ab kahaa.n se vo mazaa sabr ke phal me.n aa.e
Nasir Kazmi
Ghazal
hijr me.n jaan nikaltii nahii.n kyaa aafat hai
maar kar aaj ajal ko shab-e-furqat aa.ii
Dagh Dehlvi
Ghazal
is se hai Gariibo.n ko tasallii ki ajal ne
muflis ko jo maaraa to na zardaar bhii chho.Daa