SEARCH RESULTS
Showing search results for "احتجاج"
Ghazal MATCHES FOR "احتجاج"
Ghazal
ronaa ilaaj-e-zulmat-e-duniyaa nahii.n to kyaa
kam-az-kam ehtijaaj-e-KHudaa.ii hai ro.iye
Abbas Qamar
Ghazal
har ek ghar me.n diyaa bhii jale anaaj bhii ho
agar na ho kahii.n aisaa to ehtijaaj bhii ho
Nida Fazli
Ghazal
kaa.nTo.n se ehtijaaj kiyaa hai kuchh is tarah
gulshan kii Daal Daal pe ham raqs kar ga.e
Saghar Siddiqui
Ghazal
sunegaa kaun magar ehtijaaj KHushbuu kaa
ki saa.np zahr chhi.Daktaa rahaa chamelii par
Mohsin Naqvi
Ghazal
kyaa mujh me.n ehtijaaj kii taaqat nahii.n rahii
piichhe kii samt kis liye haTne lagaa huu.n mai.n
Munawwar Rana
Ghazal
ye intiqaam hai yaa ehtijaaj hai kyaa hai
ye log dhuup me.n kyuu.n hai.n shajar ke hote hu.e
Haseeb Soz
Ghazal
ye ehtijaaj samundar ke dam ko kaafii hai
kisii kinaare pe do-chaar pyaase mar jaa.e.n
Rakib Mukhtar
Ghazal
ye faa.eda zaruur hu.aa ehtijaaj se
jo Dho rahe the ham ko vo kaa.ndhe badal ga.e
Shakeel Jamali
Ghazal
is baat par karuu.ngaa mai.n din raat ehtijaaj
kis jurm me.n ye KHaak kaa bistar milaa mujhe
Fawad Ahmad
Ghazal
daavaa-e-KHuu.n-bahaa na tazallum na ehtijaaj
kis be-navaa-e-vaqt kaa 'ibrat' ye qatl hai
Ibrat Machlishahri
Ghazal
le rahaa hai dard a.ng.Daa.ii uThaa vo ehtijaaj
zaKHm-KHurda sab parinde pa.nkh phailaane lage
Chandrabhan Khayal
Ghazal
vafaa ke sang se Takraa ke ehtijaaj-e-anaa
saliib-e-lab pe sisakne lagaa du.aa ban kar
Jaleel 'Aali'
Ghazal
aage to zahr-e-ishq me.n sab zahr the ghule
ab shaa.irii kii jaan rag-e-ehtijaaj hai
Hasan Naim
Ghazal
na ehtijaaj na aavaargii me.n dekh mujhe
jo ho sake to mirii raushnii me.n dekh mujhe
Asad Badayuni
Ghazal
shikaariyo.n se mire ehtijaaj me.n 'baabar'
daraKHt aaj bhii shaamil the haath uThaa.e hu.e
Idris Babar
Ghazal
tire KHilaaf kiyaa jab bhii ehtijaaj ai dost
miraa vajuud bhii shaamil nahii.n hu.aa mire saath
Fartash Syed
Ghazal
dil bhii kisii ke jaur pe thaa dam-ba-KHud 'zafar'
lab par bhii ehtijaaj kii ko.ii sadaa na thii