SEARCH RESULTS
Showing search results for "تجارت"
Ghazal MATCHES FOR "تجارت"
Ghazal
hai mohabbat bhii ajab tarz-e-tijaarat ki yahaa.n
har dukaa.n-daar ye chaahe ki KHasaara ho jaa.e
Yasir Khan Inam
Ghazal
KHushbuu kii tijaarat ne diivaar kha.Dii kar dii
aa.ngan kii chamelii me.n baazaar ke bele me.n
Qaisarul Jafri
Ghazal
kitnaa dushvaar hai jazbo.n kii tijaarat karnaa
ek hii shaKHs se do baar mohabbat karnaa
Liaqat Jafri
Ghazal
jab kabhii phuulo.n ne KHushbuu kii tijaarat kii hai
pattii pattii ne havaa.o.n se shikaayat kii hai
Rahat Indori
Ghazal
sajde mire KHayaal-e-jazaa se hai.n maavaraa
maqsuud bandagii se tijaarat nahii.n mujhe
Ehsan Danish
Ghazal
dekh phir dast-e-zaruurat me.n na bik jaa.e zamiir
zar ke badle me.n usuulo.n kii tijaarat mat kar
Abbas Dana
Ghazal
Nida Fazli
Ghazal
roz ab shahr me.n sajte hai.n tijaarat mele
log sehno.n ko bhii baazaar kiye jaate hai.n
Jaleel 'Aali'
Ghazal
mai.n ne kahaa ki dete hai.n dil tum bhii laa.o dil
kahne lage ki ye to tijaarat kii baat hai
Qamar Jalalabadi
Ghazal
kab chaahaa ki saamaan-e-tijaarat hame.n samjhe.n
laa.e the hame.n aap hii baazaar me.n dekhe.n
Fatima Hasan
Ghazal
fan kii taaziim me.n mar jaa.oge bhuuke 'daanaa'
tum to Gazlo.n kii tijaarat bhii nahii.n kar sakte
Abbas Dana
Ghazal
apne maazii se jo virse me.n mile hai.n ham ko
un usuulo.n kii tijaarat nahii.n hogii ham se
Iqbal Azeem
Ghazal
banjaare hai.n rishto.n kii tijaarat nahii.n karte
ham log dikhaave kii mohabbat nahii.n karte
Naseem Nikhat
Ghazal
yahii andaaz-e-tijaarat hai to kal kaa taajir
barf ke baaT liye dhuup me.n baiThaa hogaa
Anwar Masood
Ghazal
faa.eda Dhuu.nDne vaale ye tijaarat na kare.n
'ishq ke saude me.n nuqsaan liyaa jaataa hai
Shakeel Azmi
Ghazal
mai.n jaa rahaa huu.n apnaa suKHan bechne 'saliim'
yaaro KHataa mu.aaf tijaarat kaa vaqt hai
Saleem Siddiqui
Ghazal
Zafar Iqbal
Ghazal
is daur me.n mafhuum-e-mohabbat hai tijaarat
is daur me.n hotii hai vafaa aur tarah kii
Mansoor Usmani
Ghazal
munsif to faislo.n kii tijaarat me.n lag ga.e
ab jaane kis se ham ko taqaazaa-e-adl hai