SEARCH RESULTS
Showing search results for "تنک"
Ghazal MATCHES FOR "تنک"
Ghazal
ab tak dil-e-KHush-fahm ko tujh se hai.n umiide.n
ye aaKHirii sham'e.n bhii bujhaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Ghazal
abr-e-naisaa.n ye tunuk-baKHshii-e-shabnam kab tak
mere kohsaar ke laale hai.n tahii-jaam abhii
Allama Iqbal
Ghazal
taaki ta.ana na mile ham ko tunuk-zarfii kaa
ham qadah saamne aGyaar ke rakh dete hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
ai naala sad afsos javaa.n marne pe tere
paayaa na tanik dekhne tii.n ruu-e-asar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
vo to kal der talak dekhtaa iidhar ko rahaa
ham se hii haal-e-tabaah apnaa dikhaayaa na gayaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
jab tak ki na dekhaa thaa qad-e-yaar kaa aalam
mai.n mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na hu.aa thaa
Mirza Ghalib
Ghazal
kis ne merii palko.n pe titliyo.n ke par rakkhe
aaj apnii aahaT bhii der tak sunaa.ii dii
Bashir Badr
Ghazal
thaa abas tark-e-ta.alluq kaa iraada yuu.n bhii
ishq zinda nahii.n rahtaa hai ziyaada yuu.n bhii
Ahmad Faraz
Ghazal
qatra apnaa bhii haqiiqat me.n hai dariyaa lekin
ham ko taqliid-e-tunuk-zarfi-e-mansuur nahii.n
Mirza Ghalib
Ghazal
ruKHsat hai baaGbaa.n ki tanik dekh le.n chaman
jaate hai.n vaa.n jahaa.n se phir aayaa na jaa.egaa
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
KHudaa bachaa.e ki naazuk hai un me.n ek se ek
tunak-mizaajo.n se Thahraa mo.aamla dil kaa
Yagana Changezi
Ghazal
hai tunuk-mizaaj sayyaad kuchh apnaa bas nahii.n hai
mai.n qafas ko le ke u.Dtaa agar iKHtiyaar hotaa
Yagana Changezi
Ghazal
rahe KHayaal tanik ham bhii ruu-siyaaho.n kaa
lage ho KHuun bahut karne be-gunaaho.n kaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
tanik to lutf se kuchh kah ki jaa.n-ba-lab huu.n mai.n
rahii hai baat mirii jaan ab ko.ii dam kii
Meer Taqi Meer
Ghazal
tinke bhii tum Thaharte kahii.n dekhe hai.n tanik
chashm-e-vafaa rakho na KHasaan-e-jahaa.n se tum
Meer Taqi Meer
Ghazal
mai.n mar chukaa huu.n pe tere hii dekhne ke liye
habaab-vaar tanik dam rahaa hai aa.nkho.n me.n