SEARCH RESULTS
Showing search results for "جھوٹ"
Ghazal MATCHES FOR "جھوٹ"
Ghazal
tire va.ade par jiye ham to ye jaan jhuuT jaanaa
ki KHushii se mar na jaate agar e'tibaar hotaa
Mirza Ghalib
Ghazal
jhuuT vaale kahii.n se kahii.n ba.Dh ga.e
aur mai.n thaa ki sach boltaa rah gayaa
Waseem Barelvi
Ghazal
Tahzeeb Hafi
Ghazal
Sahir Ludhianvi
Ghazal
us shaKHs ke tum se bhii maraasim hai.n to ho.nge
vo jhuuT na bolegaa mire saamne aa kar
Mohsin Naqvi
Ghazal
jhuuT bolaa hai to qaa.em bhii raho us par 'zafar'
aadmii ko saahab-e-kirdaar honaa chaahiye
Zafar Iqbal
Ghazal
murshid ke jhuuT kii to sazaa be-hisaab hai
tum chho.Diyo na shahr ko sahraa kiye baGair
Jaun Eliya
Ghazal
Andaleeb Shadani
Ghazal
mai.n sach kahuu.ngii magar phir bhii haar jaa.uu.ngii
vo jhuuT bolegaa aur laa-javaab kar degaa
Parveen Shakir
Ghazal
Ada Jafarey
Ghazal
aisaa badlaa huu.n tire shahr kaa paanii pii kar
jhuuT boluu.n to nadaamat nahii.n hotii mujh ko
Shahid Zaki
Ghazal
jhuuT to qaatil Thahraa is kaa kyaa ronaa
sach ne bhii insaa.n kaa KHuu.n bahaayaa hai
Sahir Ludhianvi
Ghazal
mai.n us se jhuuT bhii boluu.n to mujh se sach bole
mire mizaaj ke sab mausamo.n kaa saathii ho
Iftikhar Arif
Ghazal
tuu jo chaahe to tiraa jhuuT bhii bik saktaa hai
shart itnii hai ki sone kii taraazuu rakh le
Rahat Indori
Ghazal
bas ek jhuuT kabhii aa.ine se bolaa thaa
ab apne aap se chehra chhupaanaa pa.Dtaa hai