SEARCH RESULTS
Showing search results for "دل_بسمل"
Ghazal MATCHES FOR "دل_بسمل"
Ghazal
dil ko ab aane lagaa qatl-gah-e-naaz me.n lutf
aur bismil kare ai hazrat-e-'bismil' ko.ii
Bismil Allahabadi
Ghazal
haa.n bikharne de tasallii se dil-e-bismil mujhe
ai dha.Dakte dil Thahar jaa mil ga.ii manzil mujhe
Sarfaraz Bazmi
Ghazal
bismil chale.nge aaj dar-e-yaar tak zaruur
pazhmurda dil ko tere gul-e-tar banaa.e.nge
Syed Aminul Hasan Mohani Bismil
Ghazal
kuchh dekh rahe hai.n dil-e-bismil kaa ta.Dapnaa
kuchh Gaur se qaatil kaa hunar dekh rahe hai.n
Dagh Dehlvi
Ghazal
tamaashaa dekh lo tum bhii to aa kar
ta.Daptaa hai dil-e-bismil kisii kaa
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
Ghazal
muskuraataa hai har ik zaKHm dil-e-bismil kaa
ha.ns ke qaatil ne bhii armaan nikaale ho.nge
Jumbish Khairabadi
Ghazal
KHushk phir hone lage zaKHm dil-e-bismil ke
apnii chaahat kii namii de ke unhe.n tar kar de
Suman Dhingra Duggal
Ghazal
Gairo.n ko na kar mujh dil-e-bismil ke muqaabil
chau rang lagaate tirii talvaar na TuuTe
Ashraf Ali Fughan
Ghazal
dil-e-bismil me.n kuchh is tarah hu.e the paivast
TuuT kar nikle hai.n paikaan ba.Dii mushkil se
Riyaz Khairabadi
Ghazal
kyaa ta.Dapnaa dil-e-bismil kaa bhalaa lagtaa hai
ki jab uchhle hai tire siine se jaa lagtaa hai
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
khii.nche liye jaataa hai kahii.n shauq-e-shahaadat
dam lene kii taab ab dil-e-bismil nahii.n rakhtaa
Yagana Changezi
Ghazal
ham ne to sanam terii chup-chaap parastish kii
lekin ye dil-e-bismil har baar bahut royaa