SEARCH RESULTS
Showing search results for "مکرر"
Ghazal MATCHES FOR "مکرر"
Ghazal
shoKHii sii hai savaal-e-mukarrar me.n ai kaliim
shart-e-razaa ye hai ki taqaazaa bhii chho.D de
Allama Iqbal
Ghazal
har baar na.e shauq se hai arz-e-tamannaa
sau baar bhii ham kah ke mukarrar nahii.n kahte
Bismil Saeedi
Ghazal
yaa-rab zamaana mujh ko miTaataa hai kis liye
lauh-e-jahaa.n pe harf-e-mukarrar nahii.n huu.n mai.n
Mirza Ghalib
Ghazal
bahraa huu.n mai.n to chaahiye duunaa ho iltifaat
suntaa nahii.n huu.n baat mukarrar kahe baGair
Mirza Ghalib
Ghazal
gunaah-e-mukarrar 'shakiil' allaah allaah
biga.D kar sa.nvarne ko jii chaahtaa hai
Shakeel Badayuni
Ghazal
kaun hotaa hai hariif-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq
hai mukarrar lab-e-saaqii pe salaa mere ba.ad
Mirza Ghalib
Ghazal
tarannum 'arz mukarrar sunaa.iye irshaad
kisii ne suniye kahaa bazm jhuum jhuum ga.ii
Shahzad Qais
Ghazal
ab us ke liye is qadar aasaan thaa sab kuchh
vaaqif vo magar sa.ii mukarrar se nahii.n thaa
Rajinder Manchanda Bani
Ghazal
mai.n saada-dil aazurdagi-e-yaar se KHush huu.n
ya.anii sabaq-e-shauq mukarrar na hu.aa thaa
Mirza Ghalib
Ghazal
sar u.Daane ke jo vaade ko mukarrar chaahaa
ha.ns ke bole ki tire sar kii qasam hai ham ko
Mirza Ghalib
Ghazal
ham ne kisii kii yaad me.n aksar sharaab pii
pii kar Gazal kahii to mukarrar sharaab pii
Fazil Jamili
Ghazal
na kah ki taaqat-e-rusvaa.ii-e-visaal nahii.n
agar yahii araq-e-fitna hai mukarrar khii.nch
Mirza Ghalib
Ghazal
hu.aa kyuu.n mukaddar tuu ai aa.ina-ruu
tuu ai aa.ina-ruu hu.aa kyuu.n mukaddar
Taban Abdul Hai
Ghazal
aag dekhuu.n kabhii jaltaa hu.aa bistar dekhuu.n
raat aa.e to yahii.n KHvaab-e-mukarrar dekhuu.n
Siddique Mujibi
Ghazal
sunaa.e the lab-e-nai se kisii ne jo naGme
lab-e-'jigar' se mukarrar sunaa.e jaate hai.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
chhe.Dii kuchh is tarah se 'jamiil' us ne ye Gazal
har ek sher qand-e-mukarrar lagaa mujhe
Jameel Malik
Ghazal
vo jis KHuluus kii shiddat ne maar Daalaa 'nuur'
vahii KHuluus mukarrar mirii talaash me.n hai
Krishn Bihari Noor
Ghazal
un ke huzuur lab to mukarrar na khul sake
ruudaad-e-Gam nigaah se dohraa ke rah gayaa