SEARCH RESULTS
Showing search results for "پہنچ"
Ghazal MATCHES FOR "پہنچ"
Ghazal
pahu.nch gayaa tirii aa.nkho.n ke us kinaare tak
jahaa.n se mujh ko samundar dikhaa.ii dene lagaa
Shaheen Abbas
Ghazal
qibla kabhii to taaza-suKHan bhii kare.n ataa
ye chaar-paa.nch Gazle.n hii kab tak sunaa.e.nge
Ali Zaryoun
Ghazal
pahu.nch ke dar pe tire kitne mo'tabar Thahre
agarche rah me.n hu.ii.n jag-ha.nsaa.iyaa.n kyaa kyaa
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
go haram ke raaste se vo pahu.nch ga.e KHudaa tak
tirii rahguzar se jaate to kuchh aur baat hotii
Agha Hashr Kashmiri
Ghazal
kahaa.n pahu.nch ga.ii duniyaa use pata hii nahii.n
jo ab bhii maazii ke qisse sunaa.e jaataa hai
Waseem Barelvi
Ghazal
ham bhii manzil pe pahu.nch jaa.e.nge marte khapte
qaafila yaaro.n kaa jaataa hai agar jaane do
Miyan dad Khan Sayyah
Ghazal
Umair Najmi
Ghazal
biich jangal me.n pahu.nch ke kitnii hairaanii hu.ii
ik sadaa aa.ii achaanak jaanii-pahchaanii hu.ii
Jamal Ehsani
Ghazal
vahii.n pahu.nch ke giraa.e.nge baadbaa.n ab to
vo duur ko.ii jaziira dikhaa.ii detaa hai
Shakeb Jalali
Ghazal
Makhmoor Dehlvi
Ghazal
har ik hazaar me.n bas paa.nch saat hai.n ham log
nisaab-e-ishq pe vaajib zakaat hai.n ham log
Umair Najmi
Ghazal
raahbar raah musaafir ko dikhaa detaa hai
vahii manzil pe pahu.nch jaa.e zaruurii to nahii.n