SEARCH RESULTS
Showing search results for "आमद-ओ-शुद"
Ghazal MATCHES FOR "आमद-ओ-शुद"
Ghazal
nafas kii aamad-o-shud ko vabaal kar ke bhii
vo KHush nahii.n hai hamaaraa ye haal kar ke bhii
Arif Imam
Ghazal
ruke hai aamad-o-shud me.n nafas nahii.n chaltaa
yahii hai hukm-e-ilaahii to bas nahii.n chaltaa
George Puech Shor
Ghazal
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
sadaa-e-aamad-o-shud baa.is-e-safar thii 'kamaal'
nafas nafas mujhe apne lahuu kaa pyaasaa lagaa
Abdullah Kamal
Ghazal
ik ajab aamad-o-shud hai ki na maazii hai na haal
'jaun' barpaa ka.ii naslo.n kaa safar hai mujh me.n
Jaun Eliya
Ghazal
fanaa hii kaa hai baqaa naam duusraa 'anjum'
nafas kii aamad-o-shud maut kaa taraana hai
Mahaveer Parshad Anjum
Ghazal
jis kaa nafas kii aamad-o-shud par madaar ho
aisii hayaat kaa bhii ko.ii e.atibaar hai
Aasi Ramnagri
Ghazal
miraa vujuud musallaa thaa raat bhar mai.n ne
nafas kii aamad-o-shud se namaaz qaa.em kii
Shahram Sarmadi
Ghazal
is qadar aamad o shud tum ko zarar rakhtii hai
dostaa.n har gha.Dii is kuu mai.n na aa.o jaa.o
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
kabhii talaash kiyaa to vahii.n milaa hai vo
nafas kii aamad-o-shud me.n jahaa.n KHalaa saa hai
Shahram Sarmadi
Ghazal
hai jo aGyaar ke har dam kii tirii aamad-o-shud
jism me.n jaan hamaarii safarii rahtii hai
Waliullah Muhib
Ghazal
zinda huu.n merii aamad-o-shud se hai kaa.enaat
aa.uu.ngaa kaal hai miraa mar kab gayaa huu.n mai.n
Krishna Mohan
Ghazal
nafas kii aamad-o-shud kii hai be-nishaa.n manzil
kahaa.n pe jaa ke ruke kaarvaa.n nahii.n ma.aluum
Natiq Azmi
Ghazal
nafas kii aamad-o-shud bhii hai saanehe kii tarah
gavaah rah ki tiraa ham-nafas rahaa huu.n mai.n