SEARCH RESULTS
Showing search results for "चाहिए"
Ghazal MATCHES FOR "चाहिए"
Ghazal
ishq hai to ishq kaa iz.haar honaa chaahiye
aap ko chehre se bhii biimaar honaa chaahiye
Munawwar Rana
Ghazal
kaleja chaahiye dushman se dushmanii ke liye
jo be-amal hai vo badla kisii se kyaa legaa
Waseem Barelvi
Ghazal
be-dar-o-diivaar saa ik ghar banaayaa chaahiye
ko.ii ham-saaya na ho aur paasbaa.n ko.ii na ho
Mirza Ghalib
Ghazal
Ahmad Faraz
Ghazal
Jawad Sheikh
Ghazal
dariyaa ho yaa pahaa.D ho Takraanaa chaahiye
jab tak na saa.ns TuuTe jiye jaanaa chaahiye
Nida Fazli
Ghazal
biimaar ko maraz kii davaa denii chaahiye
mai.n piinaa chaahtaa huu.n pilaa denii chaahiye
Rahat Indori
Ghazal
KHaamushii achchhii nahii.n inkaar honaa chaahiye
ye tamaashaa ab sar-e-baazaar honaa chaahiye
Zafar Iqbal
Ghazal
baKHshe hai jalva-e-gul zauq-e-tamaashaa 'Gaalib'
chashm ko chaahiye har rang me.n vaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Ghazal
us kaa hai jo bhii kuchh hai miraa aur mai.n magar
vo mujh ko chaahiye ko.ii saudaa kiye baGair
Jaun Eliya
Ghazal
Rahat Indori
Ghazal
jazba-e-be-iKHtiyaar-e-shauq dekhaa chaahiye
siina-e-shamshiir se baahar hai dam shamshiir kaa
Mirza Ghalib
Ghazal
had chaahiye sazaa me.n uquubat ke vaaste
aaKHir gunaahgaar huu.n kaafar nahii.n huu.n mai.n
Mirza Ghalib
Ghazal
agar palak pe hai motii to ye nahii.n kaafii
hunar bhii chaahiye alfaaz me.n pirone kaa
Javed Akhtar
Ghazal
arz-e-alam ba-tarz-e-tamaashaa bhii chaahiye
duniyaa ko haal hii nahii.n huliya bhii chaahiye
Jawad Sheikh
Ghazal
talaash-e-dost ko ik umr chaahiye ai dost
ki ek umr tiraa intizaar ham ne kiyaa
Hafeez Hoshiarpuri
Ghazal
ik umr chaahiye ki gavaaraa ho niish-e-ishq
rakkhii hai aaj lazzat-e-zaKHm-e-jigar kahaa.n