SEARCH RESULTS
Showing search results for "थकन"
Ghazal MATCHES FOR "थकन"
Ghazal
kabhii mil jaa.e to raste kii thakan jaag pa.De
aisii manzil se guzar jaane ko jii chaahtaa hai
Iftikhar Arif
Ghazal
tere lahje kii thakan me.n tiraa dil shaamil hai
aisaa lagtaa hai judaa.ii kii gha.Dii aa ga.ii dost
Ahmad Faraz
Ghazal
sa.uubato.n me.n safar kii kabhii jo nii.nd aa.ii
mire badan kii thakan ne uThaa diyaa hai mujhe
Saqi Amrohvi
Ghazal
charaag apnii thakan kii ko.ii safaa.ii na de
vo tiirgii hai ki ab KHvaab tak dikhaa.ii na de
Meraj Faizabadi
Ghazal
thakan ko o.Dh ke bistar me.n jaa ke leT ga.e
ham apnii qabr-e-muqarrar me.n jaa ke leT ga.e
Munawwar Rana
Ghazal
ab thakan paa.nv kii zanjiir banii jaatii hai
raah kaa KHauf ye kahtaa hai ki chalte rahiye
Meraj Faizabadi
Ghazal
kitne bhii ghanere ho.n tirii zulf ke saa.e
ik raat me.n sadiyo.n kii thakan kam nahii.n hotii
Qaisarul Jafri
Ghazal
qadam qadam pe thakan saaz-baaz kartii hai
sisak rahaa huu.n safar kaa azaab pahne hu.e
Saqi Faruqi
Ghazal
Shahzad Qais
Ghazal
chhaa.nv mil jaa.e to kam daam me.n bik jaatii hai
ab thakan tho.De se aaraam me.n bik jaatii hai
Munawwar Rana
Ghazal
ai dasht-e-aarzuu mujhe manzil kii aas de
merii thakan ko gard-e-safar kaa libaas de
Meraj Faizabadi
Ghazal
chehre pe phailne lagii ta.abiir kii thakan
palko.n pe ek KHvaab ba.Dii der tak rahaa
Ashfaq Ahmad Saim
Ghazal
thakan to agle safar ke liye bahaana thaa
use to yuu.n bhii kisii aur samt jaanaa thaa
Iftikhar Arif
Ghazal
KHayaal usii kii taraf baar baar jaataa hai
mire safar kii thakan kaun utaar jaataa hai
Akhtar Nazmi
Ghazal
Ahmad Faraz
Ghazal
shab-e-firaaq mirii aa.nkh ko thakan se bachaa
ki nii.nd vaar na kar de tirii sahelii par
Mohsin Naqvi
Ghazal
'umr kii saarii thakan laad ke ghar jaataa huu.n
raat bistar pe mai.n sotaa nahii.n mar jaataa huu.n