SEARCH RESULTS
Showing search results for "सैकड़ों"
Ghazal MATCHES FOR "सैकड़ों"
Ghazal
tahii zindagii se nahii.n ye fazaa.e.n
yahaa.n saik.Do.n kaarvaa.n aur bhii hai.n
Allama Iqbal
Ghazal
Adeem Hashmi
Ghazal
ishq aaGaaz me.n halkii sii KHalish rakhtaa hai
baad me.n saik.Do.n aazaar se lag jaate hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
saik.Do.n dar hai.n zamaane me.n gadaa.ii ke liye
aap hii kaa dar-e-daulat ho zaruurii to nahii.n
Saba Akbarabadi
Ghazal
ai dil kuchh aur baat kii raGbat na de mujhe
sun.nii pa.De.ngii saik.Do.n us ko lagaa ke haath
Nizam Rampuri
Ghazal
mujh pe hai.n saik.Do.n ilzaam mire saath na chal
tuu bhii ho jaa.egaa badnaam mire saath na chal
Shakeel Azmi
Ghazal
Allama Iqbal
Ghazal
zid kii hai aur baat magar KHuu burii nahii.n
bhuule se us ne saik.Do.n va.ade vafaa kiye
Mirza Ghalib
Ghazal
Dagh Dehlvi
Ghazal
loTte saik.Do.n naKHchiir hai.n kyaa yaad rahe
chiir do siine me.n dil ko ki pataa yaad rahe
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
merii tasviir-e-Gazal hai ko.ii aa.iina nahii.n
saik.Do.n ruKH hai.n abhii aap ne dekhaa kyaa hai
Fana Nizami Kanpuri
Ghazal
rabt ke sai.nka.Do.n hiile hai.n mohabbat na sahii
ham tire saath kisii aur bahaane lag jaa.e.n
Ahmad Faraz
Ghazal
kyuu.n havelii ke uja.Dne kaa mujhe afsos ho
saik.Do.n be-ghar parindo.n ke Thikaane ho ga.e
Bashir Badr
Ghazal
ras un aa.nkho.n kaa hai kahne ko zaraa saa paanii
sai.nka.Do.n Duub ga.e phir bhii hai itnaa paanii
Arzoo Lakhnavi
Ghazal
mirii nazar se tirii justujuu ke sadqe me.n
ye ik jahaa.n hii nahii.n sai.nka.Do.n jahaa.n guzre
Jigar Moradabadi
Ghazal
daaman-e-dasht ne aa.nsuu bhii na puuchhe afsos
mai.n ne ro ro ke lahuu saik.Do.n maidaan bhare