SEARCH RESULTS
Showing search results for ".imnw"
Ghazal MATCHES FOR ".imnw"
Ghazal
vo kyuu.n kahe.nge ki dono.n me.n amn ho jaa.e
hamaarii ja.ng se jin kii kamaa.ii jaarii hai
Ali Zaryoun
Ghazal
surKHiyaa.n amn kii talqiin me.n masruuf rahii.n
harf baaruud ugalte rahe aKHbaar ke biich
Mohsin Naqvi
Ghazal
na.ii zamii.n na ko.ii aasmaan maa.ngte hai.n
bas ek gosha-e-amn-o-amaan maa.ngte hai.n
Manzoor Hashmi
Ghazal
hai turfa amn-gaah nihaa.n-KHaana-e-adam
aa.nkho.n ke ruu-ba-ruu se tuu logo.n ke Tal ke chal
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
baa.is-e-amn-o-mohabbat hai agar meraa lahuu
qatra qatra ba-KHudaa de ke chalaa jaa.uu.ngaa
Muzaffar Razmi
Ghazal
naved-e-amn hai bedaad-e-dost jaa.n ke liye
rahii na tarz-e-sitam ko.ii aasmaa.n ke liye
Mirza Ghalib
Ghazal
fareb-e-amn me.n kuchh maslahat to hai varna
sukuun-e-kashtii o taufiiq-e-naa-KHudaa ma.aluum
Fani Badayuni
Ghazal
hamesha amn nahii.n hotaa faaKHtaa.o.n me.n
kabhii-kabhaar uqaabo.n se bhii kalaam karo
Nida Fazli
Ghazal
amn ke parindo.n kii sarhade.n nahii.n hotii.n
ham jahaa.n Thahar jaa.e.n vo vatan hamaaraa hai
Iqbal Ashhar
Ghazal
lahraate hu.e aa.e the vo amn kaa parcham
parcham ko uThaa.e hu.e neze kii anii thii
Anwar Masood
Ghazal
mai.n ik zamiin huu.n amn-o-amaa.n kii mutlaashii
mire aziiz mujhe karbalaa banaate hai.n
Khurshid Talab
Ghazal
fitratan har aadmii hai taalib-e-amn-o-amaa.n
dushmano.n ko bhii mohabbat kii nazar se dekhiye
Shakeel Badayuni
Ghazal
terii jafaa na ho to hai sab dushmano.n se amn
badmast Gair mahv dil aur baKHt KHvaab me.n