meri barbaadi ko chashm-e-moatabar se dekhiye
merī barbādī ko chashm-e-mo'atabar se dekhiye
'mīr' kā dīvān 'ġhālib' kī nazar se dekhiye
muskurā kar yuuñ na apnī rahguzar se dekhiye
jis taraf merī nazar chāhe udhar se dekhiye
haiñ dalīl-e-kam-nigāhī iḳhtilāfāt-e-nazar
zindagī kā ek hī ruḳh hai jidhar se dekhiye
bharte rahte haiñ jahannam zindagī ke chārasāz
dushman-e-jāñ haiñ agar gahrī nazar se dekhiye
mere ġham-ḳhāne ke chāroñ samt haiñ daulat-kade
zindagī kī bhiik miltī hai kidhar se dekhiye
fitratan har aadmī hai tālib-e-amn-o-amāñ
dushmanoñ ko bhī mohabbat kī nazar se dekhiye
bhej dī tasvīr apnī un ko ye likh kar 'shakīl'
aap kī marzī hai chāhe jis nazar se dekhiye
meri barbaadi ko chashm-e-mo'atabar se dekhiye
'mir' ka diwan 'ghaalib' ki nazar se dekhiye
muskura kar yun na apni rahguzar se dekhiye
jis taraf meri nazar chahe udhar se dekhiye
hain dalil-e-kam-nigahi iKHtilafat-e-nazar
zindagi ka ek hi ruKH hai jidhar se dekhiye
bharte rahte hain jahannam zindagi ke chaarasaz
dushman-e-jaan hain agar gahri nazar se dekhiye
mere gham-KHane ke chaaron samt hain daulat-kade
zindagi ki bhik milti hai kidhar se dekhiye
fitratan har aadmi hai talib-e-amn-o-aman
dushmanon ko bhi mohabbat ki nazar se dekhiye
bhej di taswir apni un ko ye likh kar 'shakil'
aap ki marzi hai chahe jis nazar se dekhiye
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 622)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.