SEARCH RESULTS
Showing search results for "KHusro"
Ghazal MATCHES FOR "KHusro"
Ghazal
vo mohabbat na sahii dard-e-mohabbat hii sahii
kuchh to mil jaa.e hame.n aap kii nafrat hii sahii
Ameer Ahmad Khusro
Ghazal
'KHusrav' the us ke halqa-bagosho.n me.n aap bhii
haatho.n me.n Daale haath abhii kal kii baat hai
Firoz Natiq Khusro
Ghazal
'KHusrav' safiir-e-vaqt se Gam kaa mizaaj puuchh
maazii kii azmato.n kaa KHushii kaa pata na maa.ng
Ameer Ahmad Khusro
Ghazal
jis jagah qaafila-e-dard rukaa thaa 'KHusrav'
dard-mando.n ne vahii.n shahr basaa rakkhaa hai
Ameer Ahmad Khusro
Ghazal
haq kii raaho.n me.n qadam jab bhii ba.Dhe hai.n 'KHusrav'
raah dikhlaane mujhe raah ke patthar aa.e
Ameer Ahmad Khusro
Ghazal
KHalish se jis kii thii vaabasta yaad manzil kii
vo KHaar paa.nv se 'KHusrav' nikal gayaa kaise
Ameer Ahmad Khusro
Ghazal
sub.h aatii hai masarrat ke payaamaat liye
zindagaanii ke mahakte hu.e naGmaat liye
Ameer Ahmad Khusro
Ghazal
ehsaas ke TuuTe hu.e aa.iine me.n 'KHusrav'
jaltii hu.ii ham apnii chitaa dekh rahe hai.n
Ameer Ahmad Khusro
Ghazal
Ameer Ahmad Khusro
Ghazal
na baa.ndh raKHt-e-safar pahle soch le 'KHusrav'
shikasta naav a.ndherii hai raat dariyaa hai
Firoz Natiq Khusro
Ghazal
Firoz Natiq Khusro
Ghazal
vo ajnabii kii tarah aaj ham se milte hai.n
tamaam umr jo 'KHusrav' hamaare saath rahe
Ameer Ahmad Khusro
Ghazal
abr-e-rahmat ko liye apnii nazar me.n 'KHusrav'
ham bhii to dasht se guzre kabhii kohsaaro.n se
Ameer Ahmad Khusro
Ghazal
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
mai.n apne hii hone se gurezaa.n hu.aa 'KHusrav'
iqraar kii suurat kabhii inkaar hu.aa mai.n