SEARCH RESULTS
Showing search results for "aagyaa"
Ghazal MATCHES FOR "aagyaa"
Ghazal
nahii.n hai aap ko fursat agar tavajjoh kii
to mai.n bhii lauTtaa huu.n ghar ko aagyaa diije
Anwar Anjum
Ghazal
phir aagyaa hai jaur kaa shaayad unhe.n KHayaal
phir ba.Dh chalaa hai zulm-o-sitam rozgaar kaa
Syed Masood Hasan Masood
Ghazal
hai zarra zarra mahshar-e-aashob-e-shauq-e-der
ab vaqt aagyaa hai ki pardaa kare ko.ii
Bekhud Mohani
Ghazal
diivaangii ke paar kii hai chiiz meraa 'ishq
mai.n paa.nv chuum luu.ngaa vo jo aagyaa kare
Swapnil Yadav Nil
Ghazal
gardish me.n chashm-e-dost kaa paimaana aagyaa
liije maqaam-e-sajda-e-shukraana aa gayaa
Shauq Mahri
Ghazal
na jaane kab tire dil par na.ii sii dastak ho
makaan KHaalii hu.aa hai to ko.ii aa.egaa
Bashir Badr
Ghazal
Bashir Badr
Ghazal
muntazir kis kaa huu.n TuuTii hu.ii dahliiz pe mai.n
kaun aa.egaa yahaa.n kaun hai aane vaalaa
Ahmad Faraz
Ghazal
vo havaa.o.n kii tarah KHaana-ba-jaa.n phirtaa hai
ek jho.nkaa hai jo aa.egaa guzar jaa.egaa
Parveen Shakir
Ghazal
kaun aa.egaa yahaa.n ko.ii na aayaa hogaa
meraa darvaaza havaa.o.n ne hilaayaa hogaa
Kaif Bhopali
Ghazal
dil ke luTne kaa sabab puuchho na sab ke saamne
naam aa.egaa tumhaaraa ye kahaanii phir sahii
Masroor Anwar
Ghazal
yuu.n to kyaa aa.egaa tuu fart-e-nazaakat se yahaa.n
saKHt dushvaar hai dhoke me.n bhii aanaa teraa
Dagh Dehlvi
Ghazal
yuu.n lag rahaa hai jaise abhii lauT aa.egaa
jaate hu.e charaaG bujhaa kar nahii.n gayaa
Shahzad Ahmad
Ghazal
zo.af me.n taana-e-aGyaar kaa shikva kyaa hai
baat kuchh sar to nahii.n hai ki uThaa bhii na sakuu.n
Mirza Ghalib
Ghazal
buzurg kahte the ik vaqt aa.egaa jis din
jahaa.n pe Duubegaa suuraj vahii.n se niklegaa
Rahat Indori
Ghazal
us kii yaado.n ne ugaa rakkhe hai.n suuraj itne
shaam kaa vaqt bhii aa.e to sahar lagtaa hai
Waseem Barelvi
Ghazal
hal kuchh to nikal aa.egaa haalaat kii zid kaa
ai kasrat-e-aalaam mai.n kuchh soch rahaa huu.n