SEARCH RESULTS
Showing search results for "advaar"
Ghazal MATCHES FOR "advaar"
Ghazal
sunaa hai us ke shabistaa.n se muttasil hai bahisht
makii.n udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
ziist ke advaar kitne muKHtalif se ho ga.e
saal o mah Thahre hu.e aur roz o shab badle hu.e
Shabnam Shakeel
Ghazal
bachpan hai javaanii hai bu.Dhaapaa hai ye kyaa hai
marnaa hii agar hai to phir advaar ke ma.anii
Tahir Adeem
Ghazal
na.e zamaano.n kii chaap to sar pe aa kha.Dii thii
mirii samaa'at guzishta advaar me.n pa.Dii thii
Ahmad Shahryar
Ghazal
ilaaj-e-pastii-e-imroz laa.o tab jaane.n
amiin-e-rif.at-e-advaar-e-paastaa.n tum ho
Rasheed Kausar Farooquee
Ghazal
advaar me.n agarche hai 'markaz' ghiraa hu.aa
chho.De na tujh ko rahmat sub.haa.n kisii tarah
Yasin Ali Khan Markaz
Ghazal
jumla advaar o shayuunaat se jalva karte
shaan-e-'markaz' me.n vo sub.haan bane baiThe hai.n
Yasin Ali Khan Markaz
Ghazal
tahziib-e-nau kii vahshii advaar me.n kashish hai
paariina vaaqi.o.n kaa pahluu nayaa hai kitnaa
Khateeb Rafatullah Rafat
Ghazal
KHaraab-haal hai.n lekin sa.nbhal bhii sakte hai.n
ye haadsaat ke advaar Tal bhii sakte hai.n
Jashn Abbas
Ghazal
raqs karte hu.e darvesh ko maa'luum hai sab
kitne advaar hai.n u.Dtii hu.ii is KHaak me.n gum
Adnan Asar
Ghazal
patjha.D me.n KHvaahish-e-gul-o-gulzaar be-vaj.h
tiira-shabii me.n shikva-e-anvaar be-sabab
Fakhar Lala
Ghazal
ko.ii fariyaad tire dil me.n dabii ho jaise
tuu ne aa.nkho.n se ko.ii baat kahii ho jaise