SEARCH RESULTS
Showing search results for "aflaak"
Ghazal MATCHES FOR "aflaak"
Ghazal
kab tak rahe mahkuumi-e-anjum me.n mirii KHaak
yaa mai.n nahii.n yaa gardish-e-aflaak nahii.n hai
Allama Iqbal
Ghazal
aflaak se aataa hai naalo.n kaa javaab aaKHir
karte hai.n KHitaab aaKHir uThte hai.n hijaab aaKHir
Allama Iqbal
Ghazal
sitaara kyaa mirii taqdiir kii KHabar degaa
vo KHud faraaKHi-e-aflaak me.n hai KHvaar o zubuu.n
Allama Iqbal
Ghazal
baKHt se ko.ii shikaayat hai na aflaak se hai
yahii kyaa kam hai ki nisbat mujhe is KHaak se hai
Parveen Shakir
Ghazal
muddat se hai aavaara-e-aflaak miraa fikr
kar de ise ab chaa.nd ke Gaaro.n me.n nazar-band
Allama Iqbal
Ghazal
ye musht-e-KHaak ye sarsar ye vus.at-e-aflaak
karam hai yaa ki sitam terii lazzat-e-iijaad
Allama Iqbal
Ghazal
hamaarii soch kii parvaaz ko roke nahii.n ko.ii
na.e aflaak pe pahre biThaa kar kuchh nahii.n miltaa
Wasi Shah
Ghazal
chashm to vus.at-e-aflaak me.n kho.ii 'saaGar'
dil ne ik aur jagah Dhuu.nD liyaa eid kaa chaa.nd
Saghar Siddiqui
Ghazal
na hai sitaare kii gardish na baazi-e-aflaak
KHudii kii maut hai teraa zavaal-e-nemat-o-jaah
Allama Iqbal
Ghazal
haadsa vo jo abhii parda-e-aflaak me.n hai
aks us kaa mire aa.iina-e-idraak me.n hai
Allama Iqbal
Ghazal
vaqt ne aise ghumaa.e ufuq aafaaq ki bas
mehvar-e-gardish-e-saffaak se KHauf aataa hai
Iftikhar Arif
Ghazal
kisii kii raah me.n aflaak zer-e-paa hote
yahaa.n to paa.nv se sahraa nikal rahaa hai miyaa.n
Naseer Turabi
Ghazal
ek banda thaa ki o.Dhe thaa KHudaa.ii saarii
ik sitaara thaa ki aflaak pahan kar niklaa
Ahmad Faraz
Ghazal
panchhii bane to rif.at-e-aflaak par u.De
ahl-e-zamii.n ke haal pe ham raqs kar ga.e
Saghar Siddiqui
Ghazal
qindiil-e-mah-o-mehr kaa aflaak pe honaa
kuchh is se ziyaada hai miraa KHaak pe honaa
Sarvat Husain
Ghazal
jis ko ehsaas ho aflaak kii tanhaa.ii kaa
der tak us ko akelaa nahii.n rahne dete