SEARCH RESULTS
Showing search results for "aibo.n"
Ghazal MATCHES FOR "aibo.n"
Ghazal
pahle KHud apne saamne tum aa.ina karo
aibo.n pe duusro.n ke agar tabsira karo
Arpit Sharma Arpit
Ghazal
ho sake to aap rakhiye apne aibo.n par nazar
duusro.n kii KHaamiyo.n par tabsira achchhaa nahii.n
Arpit Sharma Arpit
Ghazal
ab ye nekii bhii hame.n jurm nazar aatii hai
sab ke aibo.n ko chhupaayaa hai bahut din ham ne
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
KHuubiyo.n ko masKH kar ke aib jaisaa kar diyaa
ham ne yuu.n aibo.n kii aabaadii ko duunaa kar diyaa
Sabir
Ghazal
kuchh na kahiye to bhalaa yuu.n hii samajhte rahiye
puuchh liije to vo aibo.n se mukartaa hii nahii.n
Abdul Hamid
Ghazal
Waqar Manvi
Ghazal
KHabar jin ko aibo.n kii apne nahii.n hai
vahii mujh pe tohmat lagaane lage hai.n
Aman Kumar Musafir
Ghazal
mere aibo.n me.n hai shaamil mirii majbuurii bhii
mai.n bhii insaan na hotaa to farishta hotaa
Anwar Anjum
Ghazal
mai.n chaadar-e-tathiir kaa detii huu.n vasiila
rakh lenaa mire 'aibo.n ko duniyaa se chhupaa kar
Jina Quraishi
Ghazal
apne aaqaa.o.n ke aibo.n ko mahaasin samjhe
itnii paaband-e-aqiidat to re.aayaa bhii nahii.n
Shakeel Jamali
Ghazal
Daale.n nazar ham apne bhii aibo.n pe dosto.n
jab aa.ine ko apne kabhii ruu-ba-ruu kare.n
Gauhar Seema
Ghazal
Abdul Hameed Bashar
Ghazal
cha.Dhte suuraj kii parastaar banii thii duniyaa
ham bhii dekhaa kiye aibo.n ko hunar hone tak