SEARCH RESULTS
Showing search results for "apno"
Ghazal MATCHES FOR "apno"
Ghazal
sunaa hai rabt hai us ko KHaraab-haalo.n se
so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
chabaa le.n kyo.n na KHud hii apnaa Dhaa.ncha
tumhe.n raatib muhayyaa kyo.n kare.n ham
Jaun Eliya
Ghazal
kaun rotaa hai kisii aur kii KHaatir ai dost
sab ko apnii hii kisii baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Ghazal
sharm Gairo.n se hu.aa kartii hai apno se nahii.n
sharm ham se bhii karoge to musiibat hogii
Sahir Ludhianvi
Ghazal
jin ko apno se tavajjoh nahii.n miltii 'jaaved'
haath Gairo.n se milaate hu.e mar jaate hai.n
Malikzada Javed
Ghazal
kyuu.n badle hu.e hai.n nigah-e-naaz ke andaaz
apno pe bhii uTh jaatii hai aGyaar ke hote
Zehra Nigaah
Ghazal
apno kii saazisho.n se hii masruuf-e-ja.ng huu.n
Gairo.n se dushmanii kii zaruurat nahii.n mujhe
Mohammad Askari Arif
Ghazal
taa dil pe zaKHm aur na ko.ii nayaa lage
apno se apnaa haal chhupaate rahe hai.n ham
Khalilur Rahman Azmi
Ghazal
jis gha.Dii chho.Daa thaa aa.ngan 'prem' ne
raasta apno ne bhii rokaa nahii.n
Prem Dhingra Bhatneri
Ghazal
ye ghar jo hamaare liye ab dasht-e-junuu.n hai
aabaad bhii rahtaa thaa kabhii apno ke dam se
Shams Farrukhabadi
Ghazal
jab hu.aa zikr zamaane me.n mohabbat kaa 'shakiil'
mujh ko apne dil-e-naakaam pe ronaa aayaa
Shakeel Badayuni
Ghazal
mai.n apnii raah me.n diivaar ban ke baiThaa huu.n
agar vo aayaa to kis raaste se aa.egaa
Bashir Badr
Ghazal
aaj tak nazro.n me.n hai vo sohbat-e-raaz-o-niyaaz
apnaa jaanaa yaad hai teraa bulaanaa yaad hai