SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba-qaid-e-hayaat"
Ghazal MATCHES FOR "ba-qaid-e-hayaat"
Ghazal
ye saare ranj ba-qaid-e-hayaat hii to nahii.n
hayaat merii ko.ii umr KHizar kii to nahii.n
Panna Lal Noor
Ghazal
marne se vo Dare.n jo ba-qaid-e-hayaat hai.n
mujh ko to maut aa.e zamaane guzar ga.e
Khumar Barabankavi
Ghazal
aatii hu.ii train ke jo aage rakh ga.ii
us maa.n se ye na kahnaa ba-qaid-e-hayaat huu.n
Bashir Badr
Ghazal
mar kar Gam-e-hayaat se shaayad najaat ho
lekin vo kyaa kare jo ba-qaid-e-hayaat ho
Raja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
Ghazal
ba-qaid-e-vaqt ye muzhda sunaa rahaa hai ko.ii
ki inqalaab ke parde me.n aa rahaa hai ko.ii
Seemab Akbarabadi
Ghazal
mire KHudaa mirii qaid-e-hayaat kam kar de
charaaG de nahii.n saktaa to raat kam kar de
Qaisarul Jafri
Ghazal
mar ke TuuTaa hai kahii.n silsila-e-qaid-e-hayaat
magar itnaa hai ki zanjiir badal jaatii hai
Fani Badayuni
Ghazal
qaid-e-shab-e-hayaat badan me.n guzaar ke
u.D jaa.uu.ngaa mai.n sub.h aziyyat utaar ke
Mayank Awasthi
Ghazal
vo raushnii ki ba-qaid-e-sahar nahii.n ai dost
tiraa jamaal hai merii nazar nahii.n ai dost
Ghulam Rabbani Taban
Ghazal
qaid-e-Gam-e-hayaat se ham ko chhu.Daa liyaa
achchhaa kiyaa ki aap ne apnaa banaa liyaa
Shamim Karhani
Ghazal
Darshan Singh
Ghazal
arsa-e-qaid-e-hayaat ab vahshiyo.n par ta.ng hai
chaar diivaar-e-anaasir mil ke zindaa.n ho ga.ii.n
Yagana Changezi
Ghazal
ho bhii chuke the daam-e-mohabbat me.n ham asiir
aalam abhii ba-qaid-e-zamaan-o-makaa.n na thaa
Fani Badayuni
Ghazal
kisii tarah nahii.n kaTtii nahii.n guzar chuktii
ilaahii saKHt ye qaid-e-hayaat kitnii hai
Bekhud Dehlvi
Ghazal
nafas hai saKHtii-e-qaid-e-hayaat kaa zaamin
nikal sake jo na phaa.nsii se vo guluu huu.n mai.n
Arzoo Lakhnavi
Ghazal
Shayar Jamali
Ghazal
ba-qaid-e-hosh jo guzre ba-qaid-e-jaa.n guzre
vo kyaa maqaam-e-mohabbat se kaamraa.n guzre